ruhon ka hawala pyar
bañdhe hāthoñ meñ ham ne
sub.h-e-nau ke charāġh uThā rakhe haiñ
apnī āñkhoñ ko raushnī kā havāla de kar
kitāb-e-hijr meñ sitāroñ ko ujaal rakhā hai
kabhī to le ā.eñgī koī chāñd
merī shaam kī chaukhaT par merī āñkheñ
jo intizār kī dahlīz par sitāra banī baiThī haiñ
kabhī to tulū-e-āftāb shab ke dahāne par
shabnam ke qatroñ ko motī banā degā
hai mushkil meñ jaan hamārī lekin
zindagī kī chaukhaT par jiine kā sāmān kiye baiThe haiñ
tum se bichhaḌ kar ham ne shah-rag nahīñ kaaTī
tum kyā jaano shab-e-furqat ke azaab jān-levā to haiñ magar
ishq kī is dhīmī aañch par
jalne kā jo maza hai vo tumhāre mai-kade ke
jaam toḌ toḌ kar bhī na milā ham ko
dekho ye jo chār-sū vīrāniyāñ tanhā.iyāñ aur ḳhāmoshiyāñ haiñ
ye tumhāre des se hī aa.ī haiñ
ab rifāqat ke shab-o-roz kā itnā to haq ham par vājib hai
ki tumhārī dī huī hasratoñ ko
dil ke madfan par thoḌī sī jagah de deñ
suno ham zinda haiñ zindān-e-mohabbat meñ
jo agar ho kabhī mumkin to koī qissa vafā kā
hamāre naam likh denā
ham shahr-e-mohabbat ke Dase hue makīñ haiñ
hamārī rūhoñ kā havāla bas pyaar likh denā
hamāre dil ke madfan par yādoñ ke gulāb sajānā
jo tumhāre shahr kī havā.eñ haiñ
un ko hamārī galī kā pata de denā
bandhe hathon mein hum ne
subh-e-nau ke charagh uTha rakhe hain
apni aankhon ko raushni ka hawala de kar
kitab-e-hijr mein sitaron ko ujal rakha hai
kabhi to le aaengi koi chand
meri sham ki chaukhaT par meri aankhen
jo intizar ki dahliz par sitara bani baiThi hain
kabhi to tulu-e-aftab shab ke dahane par
shabnam ke qatron ko moti bana dega
hai mushkil mein jaan hamari lekin
zindagi ki chaukhaT par jine ka saman kiye baiThe hain
tum se bichhaD kar hum ne shah-rag nahin kaTi
tum kya jaano shab-e-furqat ke azab jaan-lewa to hain magar
ishq ki is dhimi aanch par
jalne ka jo maza hai wo tumhaare mai-kade ke
jam toD toD kar bhi na mila hum ko
dekho ye jo chaar-su viraniyan tanhaiyan aur KHamoshiyan hain
ye tumhaare des se hi aai hain
ab rifaqat ke shab-o-roz ka itna to haq hum par wajib hai
ki tumhaari di hui hasraton ko
dil ke madfan par thoDi si jagah de den
suno hum zinda hain zindan-e-mohabbat mein
jo agar ho kabhi mumkin to koi qissa wafa ka
hamare nam likh dena
hum shahr-e-mohabbat ke Dase hue makin hain
hamari ruhon ka hawala bas pyar likh dena
hamare dil ke madfan par yaadon ke gulab sajaana
jo tumhaare shahr ki hawaen hain
un ko hamari gali ka pata de dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.