rup-nagar ki sair
nanhe-munne do bachchoñ kī hai dilchasp kahānī
rūp-nagar kī sair kareñge baat jo dil meñ Thānī
laakh manāyā maañ ne lekin baat na us kī maanī
sub.h-savere ghar se nikle ghar vāloñ se chhup ke
chalte chalte donoñ bachche ik jangal meñ pahuñche
shiddat kī garmī thī us pe donoñ hī the bhūke
thoḌī der chale jangal meñ dekhā baaġh anokhā
phuul khile the rang-birange juuhī belā champā
nanhā sā ik peḌ bhī dekhā phal thā jis kā mīThā
phal khāyā donoñ ne mil kar apnī pyaas bujhā.ī
itne meñ ik nannhī bachchī sāmne un ke aa.ī
aage baḌh kar bolī tum ho kaun batāo bhaa.ī
sach sach bolo kyoñ tum donoñ mere des meñ aa.e
ye vo des hai bhaa.ī is meñ jo aa.e rah jaa.e
rūp-nagar meñ koī aa kar kaise jaane paa.e
baat sunī jab bachchoñ ne to apnā haal batāyā
rūp-nagar kā shauq hī ham ko is jangal meñ laayā
barsoñ se thī jis kī ḳhvāhish us ko dekh to paayā
sun kar bachchī hañs kar bolī aao shahr dikhā.eñ
sone chāñdī ke mahloñ kī tum ko sair karā.eñ
bhūke ho to ghar pe chal kar pahle khānā khā.eñ
jagmag kartī saḌkeñ dekhīñ dekhe mahal do mahle
aisī duniyā in bachchoñ ne kab dekhī thī pahle
bachche būḌhe aur javāñ the sab aḳhlāq ke putle
nannhī bachchī ne donoñ ko apnā bhaa.ī samjhā
us ke abbū ammī ne bhī pyaar se un ko rakkhā
achchhe khāne ḳhuub diye phir achchhā achchhā kapḌā
lekin ik bachche ko apnī maañ kī yaad jo aa.ī
ro ro kar ammī ammī ko phir āvāz lagā.ī
haath pakaḌ kar koī bolā kyoñ rote ho bhaa.ī
aañkh khulī to ammī bolīñ dekh rahe the sapnā
shāhid merī bāteñ maano sun lo merā kahnā
rūp-nagar jaane ko jhagḌā hargiz ab mat karnā
naanī ammāñ ke qisse ko bilkul jhuuT samajhnā
varna merī maar se mushkil hai ab terā bachnā
nanhe-munne do bachchon ki hai dilchasp kahani
rup-nagar ki sair karenge baat jo dil mein Thani
lakh manaya man ne lekin baat na us ki mani
subh-sawere ghar se nikle ghar walon se chhup ke
chalte chalte donon bachche ek jangal mein pahunche
shiddat ki garmi thi us pe donon hi the bhuke
thoDi der chale jangal mein dekha bagh anokha
phul khile the rang-birange juhi bela champa
nanha sa ek peD bhi dekha phal tha jis ka miTha
phal khaya donon ne mil kar apni pyas bujhai
itne mein ek nannhi bachchi samne un ke aai
aage baDh kar boli tum ho kaun batao bhai
sach sach bolo kyon tum donon mere des mein aae
ye wo des hai bhai is mein jo aae rah jae
rup-nagar mein koi aa kar kaise jaane pae
baat suni jab bachchon ne to apna haal bataya
rup-nagar ka shauq hi hum ko is jangal mein laya
barson se thi jis ki KHwahish us ko dekh to paya
sun kar bachchi hans kar boli aao shahr dikhaen
sone chandi ke mahlon ki tum ko sair karaen
bhuke ho to ghar pe chal kar pahle khana khaen
jagmag karti saDken dekhin dekhe mahal do mahle
aisi duniya in bachchon ne kab dekhi thi pahle
bachche buDhe aur jawan the sab aKHlaq ke putle
nannhi bachchi ne donon ko apna bhai samjha
us ke abbu ammi ne bhi pyar se un ko rakkha
achchhe khane KHub diye phir achchha achchha kapDa
lekin ek bachche ko apni man ki yaad jo aai
ro ro kar ammi ammi ko phir aawaz lagai
hath pakaD kar koi bola kyon rote ho bhai
aankh khuli to ammi bolin dekh rahe the sapna
shahid meri baaten mano sun lo mera kahna
rup-nagar jaane ko jhagDa hargiz ab mat karna
nani amman ke qisse ko bilkul jhuT samajhna
warna meri mar se mushkil hai ab tera bachna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.