sai-e-raegan
maiñ apne qahqahe bikhertā rahā
magar na qabr se koī uThā
zabāñ kaTī rahī
nazar jhukī rahī
samā'ateñ jo so ga.ī thiiñ sotī hī rahīñ
kafan bañdhe rahe
‘azāb-e-qabr jhelnā gavārā thā
kisī meñ zindagī kī samt dekhne kā hausla na thā
dubak ke apnī apnī qabr meñ paḌā rahā har ek shaḳhs
maiñ apne qahqahe bikhertā rahā
main apne qahqahe bikherta raha
magar na qabr se koi uTha
zaban kaTi rahi
nazar jhuki rahi
sama'aten jo so gai thin soti hi rahin
kafan bandhe rahe
‘azab-e-qabr jhelna gawara tha
kisi mein zindagi ki samt dekhne ka hausla na tha
dubak ke apni apni qabr mein paDa raha har ek shaKHs
main apne qahqahe bikherta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.