saaton ki numaindagi aur hum
sab kahānī ke kirdār
ham par numāyāñ kahāñ ho sake
jin ko āḳhir meñ milnā thā ik dūsre se
kahāñ kho ga.e
yūñhī chalte hue aur bhaTakte hue
ham bhī us kārvāñ se judā ho ga.e
jin kā zikr aane vaalī rivāyāt meñ yā kahānī meñ thā
sab sunā.ī huī loriyoñ meñ
parindoñ ke TuuTe paroñ kā nishāñ tak nahīñ
phir bhī ham aaj TuuTe diloñ kī
kahānī sunāte hue ek be-mā'nī chup
aur ThanDe diloñ kī
asātīrī ḳhvāhish ke asrār meñ kho ga.e
zindagī
zindagī aur kyā hai
ki pahle-pahal tum ko dekhā to
ham zindagī ke ma'ānī se vāqif hue
koī bhī to nahīñ pā sakā
aaj tak
ramz-e-insāniyat
dam-ba-ḳhud kā.enātoñ meñ us kī ikaa.ī
aur khaa.ī meñ vā'doñ ke ugte hue phuul
raushnī kī vasātat se
ḳhushbū meñ palte hue ḳhvāb haiñ
ḳhair duurī meñ paltā huā ek ḳhvāb
jis meñ tum ik sitāre ke mānind
arġhavānī falak par numūdār hone lagīñ
zindagī ham ko talḳhī se haT kar bahāne lagī
chaar sū raushnī ho ga.ī
aur jashn-e-bahārāñ meñ phūloñ pe aur peḌoñ pe
muskurātī huī niiñd sar uThāne lagī
ham chale jā rahe haiñ
zamān-o-makāñ se kahīñ be-ḳhabar
ki ham ko rivāyāt aur
ḳhvāhishoñ kī asīrī vaġhaira se
bāhar nikal kar
kisī man-chalī raah par
tum se milnā bhī hai
aur rivāyāt kī chakkiyoñ meñ
asīrī kī vābastagī meñ
Darāvne ḳhvāb
aur us ke tārīk jangal meñ
tum se bichhaḌnā bhī hai
sab kahani ke kirdar
hum par numayan kahan ho sake
jin ko aaKHir mein milna tha ek dusre se
kahan kho gae
yunhi chalte hue aur bhaTakte hue
hum bhi us karwan se juda ho gae
jin ka zikr aane wali riwayat mein ya kahani mein tha
sab sunai hui loriyon mein
parindon ke TuTe paron ka nishan tak nahin
phir bhi hum aaj TuTe dilon ki
kahani sunate hue ek be-ma'ni chup
aur ThanDe dilon ki
asatiri KHwahish ke asrar mein kho gae
zindagi
zindagi aur kya hai
ki pahle-pahal tum ko dekha to
hum zindagi ke ma'ani se waqif hue
koi bhi to nahin pa saka
aaj tak
ramz-e-insaniyat
dam-ba-KHud kaenaton mein us ki ikai
aur khai mein wa'don ke ugte hue phul
raushni ki wasatat se
KHushbu mein palte hue KHwab hain
KHair duri mein palta hua ek KHwab
jis mein tum ek sitare ke manind
arghawani falak par numudar hone lagin
zindagi hum ko talKHi se haT kar bahane lagi
chaar su raushni ho gai
aur jashn-e-bahaaran mein phulon pe aur peDon pe
muskuraati hui nind sar uThane lagi
hum chale ja rahe hain
zaman-o-makan se kahin be-KHabar
ki hum ko riwayat aur
KHwahishon ki asiri waghaira se
bahar nikal kar
kisi man-chali rah par
tum se milna bhi hai
aur riwayat ki chakkiyon mein
asiri ki wabastagi mein
Darawne KHwab
aur us ke tarik jangal mein
tum se bichhaDna bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.