Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saat-e-aghaz ki be-manawiyyat

Mohammad Anvar Khalid

saat-e-aghaz ki be-manawiyyat

Mohammad Anvar Khalid

MORE BYMohammad Anvar Khalid

    saarī be-ma.anaviyyat sā.at-e-āġhāz meñ thī

    jab havā garm huī

    sā.ebānī ke liye dhuup meñ ek patthar thā

    safar āġhāz kiyā

    raat a.asāb-shikan laa.ī thī bistar pe use

    vo bhī dīvār banā jis pe girī thī dīvār

    koī dam baiTh liye

    phir safar āġhāz kiyā

    dil ne chāhā thā ki ro leñ magar ab kyā ronā

    dauḌ āḳhirī had par bhī koī rotā hai

    haañ magar vo jo abhī sā.at-e-āġhāz meñ hai

    dauḌ āḳhirī had jis ke liye raaz meñ hai

    sari be-manawiyyat saat-e-aghaz mein thi

    jab hawa garm hui

    saebani ke liye dhup mein ek patthar tha

    safar aaghaz kiya

    raat aasab-shikan lai thi bistar pe use

    wo bhi diwar bana jis pe giri thi diwar

    koi dam baiTh liye

    phir safar aaghaz kiya

    dil ne chaha tha ki ro len magar ab kya rona

    dauD ki aaKHiri had par bhi koi rota hai

    han magar wo jo abhi saat-e-aghaz mein hai

    dauD ki aaKHiri had jis ke liye raaz mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now