saaton ka zindani
bus-stop par do minute kī mulāqāt
bas do minute kī
hālāñki is lambī muddat meñ kab nahīñ dekhā tumheñ
kab nahīñ milā
kal bhī bahut der tak bāteñ kiiñ ḳhvāboñ ke nagar meñ
ye kyā haal hai itne dinoñ kahāñ rahīñ vaġhaira vaġhaira
savāl ke samundar meñ saiñkaḌoñ lahreñ aa.iiñ
vahī purānī aadat ki kuchh batāyā kuchh nahīñ
phir ḳhāmoshī
ab jā.ūñ maiñ ghar aa.iye nā
horn ke shor meñ sab āvāz Duub ga.ī
kuchh der Thahro nā chalo nā library ke lawn meñ chal kar baiTheñ
koī bol rahā thā andar hī andar
achānak ghaḌī par nazar paḌī aur maiñ uchhal paḌā
rāsta bus Tram taxi logoñ kī bhiiḌ
Qalābāziyāñ khātā huā
office ke darvāze tak pahuñchā to yaad aayā
ki bus-stop par do minute kī mulāqāt
bus-stop par do minute ki mulaqat
bas do minute ki
haalanki is lambi muddat mein kab nahin dekha tumhein
kab nahin mila
kal bhi bahut der tak baaten kin KHwabon ke nagar mein
ye kya haal hai itne dinon kahan rahin waghaira waghaira
sawal ke samundar mein sainkaDon lahren aain
wahi purani aadat ki kuchh bataya kuchh nahin
phir KHamoshi
ab jaun main ghar aaiye na
horn ke shor mein sab aawaz Dub gai
kuchh der Thahro na chalo na library ke lawn mein chal kar baiThen
koi bol raha tha andar hi andar
achanak ghaDi par nazar paDi aur main uchhal paDa
rasta bus Tram taxi logon ki bhiD
Qalabaziyan khata hua
office ke darwaze tak pahuncha to yaad aaya
ki bus-stop par do minute ki mulaqat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.