sadiqin
tum ThiThurtī guzartī hoī shaam kī mad-bharī raushnī se
churā.e hue chaar pal kī kathā
sun sako to suno
sādiqīn ik galī meñ khaḌā thā
nasq-o-tā'līq kī uljhanoñ meñ ghirī zindagī
ik galī
jis ke chāroñ taraf
hasratoñ kā ḳhat-e-nasḳh
fiisā ġhauris ke mas.aloñ meñ uljhā huā
lā-sa.ī paḌh rahā thā
sādqīnī farāsat riyāzat kī manzil pe faa.ez ibādat kā ras pī rahī thī
chāñd kī gardisheñ puurī hone na paa.ī thiiñ us raat bhī
jab use us ke fan ne
ḳhudāvand se mahv-e-suḳhan dekh kar
ek bhar puur ta.azīmī sajda kiyā
nuqra.ī raushnī us ke māthe se phūTī thī jis ne galī ko mo.attar kiyā
nasq-o-tā'līq kī uljhanoñ meñ ghirī zindagī ik galī
jis ke duujī taraf
ilm-o-irfān ke shāḳh imkān ke dā.ere ban chuke hāshiye lag chuke the
magar vo ilāhī-sifat painT kī botaleñ kāġhazoñ par uñDele hue
naqsh-gardī meñ khoyā rahā
use is se matlab hī kyā thā ki kaun us ke khīñche hue ik sulus hāshiye tak pahuñchne kī ḳhātir mare jā rahā hai
magar raat ke ik pahar
chāñd jab bādaloñ meñ chhupā
ahrman ne kahā
merā ik naqsh bhī bikne vaalā nahīñ
to ab aisā karo us kī har qaus par ism-e-āzam likho
aur phir sālhā-sāl tak
sādiqīn ism-e-āzam banā
painT kī Dibiyoñ par use phūñkā jaatā rahā
naqsh-gar ism-e-āzam kā chhallā pahan kar usī naam kā vird karte rahe
be-zabāñ canvas kī har ik qaus meñ rañg bharte rahe
aql-o-vijdān kī rāgnī jis ko shab bāñsurī ne dinoñ ko sadā.eñ lagāte hue pairahan kar liyā sādiqīn us ke sur se na.e raag ījād kartā rahā
us kī panting meñ ruumī ke aflāk
aise zamīñ-bos the jaise cactus ḳhud apne hī māhaul se laḌ-jhagaḌ ret kī vādiyoñ meñ binā bārishoñ ke harā rañg oḌhe rahe
magar rafta rafta dinoñ kī masāfat
ne us ko magan kar diyā
vo rañgoñ bhare kār-ḳhāne meñ ḳhālī nigāhoñ se bas canvas ko hī taktā rahā ab jahāñ kuchh na thā
na taḳhlīq kī te na tartīb kī be
na rañgoñ kā re na kārī-garī kī vo ye
bas talātum ḳhayāloñ kī ḳhe
zulf-e-ishkāl shānoñ pa bikhrī huī
johd-e-mismār chādar meñ lipTī hoī
be-sabātī farāmoshiyoñ kī ḳhabar
nastālīqī lakīroñ meñ uljhī huī zindagī
sādiqīnī safar
tum ThiThurti guzarti hoi sham ki mad-bhari raushni se
churae hue chaar pal ki katha
sun sako to suno
sadiqin ek gali mein khaDa tha
nasq-o-ta'liq ki uljhanon mein ghiri zindagi
ek gali
jis ke chaaron taraf
hasraton ka KHat-e-nasKH
fisa ghauris ke masalon mein uljha hua
la-sai paDh raha tha
sadqini farasat riyazat ki manzil pe faez ibaadat ka ras pi rahi thi
chand ki gardishen puri hone na pai thin us raat bhi
jab use us ke fan ne
KHudawand se mahw-e-suKHan dekh kar
ek bhar pur tazimi sajda kiya
nuqrai raushni us ke mathe se phuTi thi jis ne gali ko moattar kiya
nasq-o-ta'liq ki uljhanon mein ghiri zindagi ek gali
jis ke duji taraf
ilm-o-irfan ke shaKH imkan ke daere ban chuke hashiye lag chuke the
magar wo ilahi-sifat painT ki botalen kaghazon par unDele hue
naqsh-gardi mein khoya raha
use is se matlab hi kya tha ki kaun us ke khinche hue ek sulus hashiye tak pahunchne ki KHatir mare ja raha hai
magar raat ke ek pahar
chand jab baadalon mein chhupa
ahrman ne kaha
mera ek naqsh bhi bikne wala nahin
to ab aisa karo us ki har qaus par ism-e-azam likho
aur phir salha-sal tak
sadiqin ism-e-azam bana
painT ki Dibiyon par use phunka jata raha
naqsh-gar ism-e-azam ka chhalla pahan kar usi nam ka wird karte rahe
be-zaban canwas ki har ek qaus mein rang bharte rahe
aql-o-wijdan ki ragni jis ko shab bansuri ne dinon ko sadaen lagate hue pairahan kar liya sadiqin us ke sur se nae rag ijad karta raha
us ki panting mein rumi ke aflak
aise zamin-bos the jaise cactus KHud apne hi mahaul se laD-jhagaD ret ki wadiyon mein bina barishon ke hara rang oDhe rahe
magar rafta rafta dinon ki masafat
ne us ko magan kar diya
wo rangon bhare kar-KHane mein KHali nigahon se bas canwas ko hi takta raha ab jahan kuchh na tha
na taKHliq ki te na tartib ki be
na rangon ka re na kari-gari ki wo ye
bas talatum KHayalon ki KHe
zulf-e-ishkal shanon pa bikhri hui
johd-e-mismar chadar mein lipTi hoi
be-sabaati faramoshiyon ki KHabar
nastaliqi lakiron mein uljhi hui zindagi
sadiqini safar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.