sae ka iztirab
aaj tum tak pahuñch kar
tumhārī āñkhoñ ke ā.īnoñ meñ jhāñk kar
ḳhud ko TaTolā
to mālūm huā ki
merā jism to tum tak aate aate
kahīñ biich raste meñ gum ho gayā thā
merā dil!!
kisī aur siine meñ dabā diyā gayā thā
mire hoñT
surḳhiyoñ kī tahoñ ke nīche
paḌe paḌe siyāh ho chuke the
merī ḳhushbū
jo maiñ tumhāre liye lā rahī thī
kisī pichhle jhoñke ne
apne jism meñ Taañk lī thī
merā ḳhvāb
apnī raat kī kokh meñ
ġhalatī se kisī aur ke liye
sub.h kā pahlā harf rakh chukā thā
mere qalam kī raushnā.ī ko
lafz kā ek samundar pī chukā thā
aur merī āñkhoñ kī putliyoñ meñ nāchtī raushnī kī
kisī sarāb se dostī ho chukī thī
aur ab vo shāyad isī ke saath bah rahī hai
so ab tumhārī āñkhoñ ke ā.īnoñ meñ
maiñ nahīñ
sirf ek saa.e kā iztirāb
Doltā nazar aa rahā hai
aaj tum tak pahunch kar
tumhaari aankhon ke aainon mein jhank kar
KHud ko TaTola
to malum hua ki
mera jism to tum tak aate aate
kahin bich raste mein gum ho gaya tha
mera dil!!
kisi aur sine mein daba diya gaya tha
mere honT
surKHiyon ki tahon ke niche
paDe paDe siyah ho chuke the
meri KHushbu
jo main tumhaare liye la rahi thi
kisi pichhle jhonke ne
apne jism mein Tank li thi
mera KHwab
apni raat ki kokh mein
ghalati se kisi aur ke liye
subh ka pahla harf rakh chuka tha
mere qalam ki raushnai ko
lafz ka ek samundar pi chuka tha
aur meri aankhon ki putliyon mein nachti raushni ki
kisi sarab se dosti ho chuki thi
aur ab wo shayad isi ke sath bah rahi hai
so ab tumhaari aankhon ke aainon mein
main nahin
sirf ek sae ka iztirab
Dolta nazar aa raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.