sahab-e-KHanqah se
aa is taraf bhī ābid-e-shab-zinda-dār dekh
mauj-e-havā meñ silsila-e-zulf-e-yār dekh
be-bāda kis ne paa.e haiñ asrār-e-kā.enāt
aa mai-kade meñ raqs-e-mai-e-ḳhush-gavār dekh
kab tak rahīn-e-jalva-gah-e-hūr-o-salsabīl
jangal kī deviyoñ ko lab-e-jūebār dekh
jin kī har ek buuñd meñ ġhaltāñ hai ḳhuld-e-aish
un bādaloñ kā raqs sar-e-kohsār dekh
be-kaifiyoñ meñ ruuh kī tābindagī kahāñ
aa chāñdnī meñ bahte hue ābshār dekh
har phuul meñ hai duḳhtar-e-irfāñ khulā huā
rangīnī-e-bahār ba-qadr-e-bahār dekh
tā-chand saumi’a meñ ye rahmat kī justujū
aa mai-kade meñ rahmat-e-parvardigār dekh
aa is taraf bhi aabid-e-shab-zinda-dar dekh
mauj-e-hawa mein silsila-e-zulf-e-yar dekh
be-baada kis ne pae hain asrar-e-kaenat
aa mai-kade mein raqs-e-mai-e-KHush-gawar dekh
kab tak rahin-e-jalwa-gah-e-hur-o-salsabil
jangal ki dewiyon ko lab-e-juebar dekh
jin ki har ek bund mein ghaltan hai KHuld-e-aish
un baadalon ka raqs sar-e-kohsar dekh
be-kaifiyon mein ruh ki tabindagi kahan
aa chandni mein bahte hue aabshaar dekh
har phul mein hai duKHtar-e-irfan khula hua
rangini-e-bahaar ba-qadr-e-bahaar dekh
ta-chand saumi’a mein ye rahmat ki justuju
aa mai-kade mein rahmat-e-parwardigar dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.