sahil
chalo chaleñ ham kinār-e-dariyā
jumūd dekheñ farāz dekheñ
haqīqatoñ meñ majāz dekheñ
sukūt dekheñ shahāb dekheñ
dhaḌakte tāroñ kā saaz dekheñ
chalo chaleñ ham kinār-e-dariyā
ye raaz kaise haiñ qahr-āgīñ
shafaq kī kaliyāñ haiñ zahr-āgīñ
vajūd-e-insāñ pe haiñ salāsil
rumūz-e-daurāñ meñ mehr-āgīñ
chalo chaleñ ham kinār-e-dariyā
ye mastiyoñ pe jumūd kyoñ hai
surūr-e-vijdāñ kabūd kyoñ hai
sukūt har jā hai mustaqar kyoñ
ye lā-makānī shuhūd kyoñ hai
chalo chaleñ ham kinār-e-dariyā
chalo chalen hum kinar-e-dariya
jumud dekhen faraaz dekhen
haqiqaton mein majaz dekhen
sukut dekhen shahab dekhen
dhaDakte taron ka saz dekhen
chalo chalen hum kinar-e-dariya
ye raaz kaise hain qahr-agin
shafaq ki kaliyan hain zahr-agin
wajud-e-insan pe hain salasil
rumuz-e-dauran mein mehr-agin
chalo chalen hum kinar-e-dariya
ye mastiyon pe jumud kyon hai
surur-e-wijdan kabud kyon hai
sukut har ja hai mustaqar kyon
ye la-makani shuhud kyon hai
chalo chalen hum kinar-e-dariya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.