sahilon par bahut gandagi hai
samundar kī lahroñ meñ
laTke libāde sā lāġhar badan ye hanger pe
ḳhud-kushī kā sirhānā lagā kar
nasīr aur zīrak kī nazmeñ
kisī rā.egānī ke zer-e-asar paḌh rahā hai
lipaTtī jhapaTtī sharārat se bharpūr lahroñ kā paañv bhigonā
kisī bad-shugūnī kī jānib ishāra nahīñ
mujh meñ aisā samundar hai jis kā kināra nahīñ
raushnī
ko chhūtī huī raushnī rā.egānī
mere pairoñ kī miTTī ko māthe kā jhūmar banā
aur us ko batā
sāhiloñ par bahut gandagī hai
samundar ki lahron mein
laTke libaade sa laghar badan ye hanger pe
KHud-kushi ka sirhana laga kar
nasir aur zirak ki nazmen
kisi raegani ke zer-e-asar paDh raha hai
lipaTti jhapaTti shararat se bharpur lahron ka panw bhigona
kisi bad-shuguni ki jaanib ishaara nahin
mujh mein aisa samundar hai jis ka kinara nahin
raushni
ko chhuti hui raushni raegani
mere pairon ki miTTi ko mathe ka jhumar bana
aur us ko bata
sahilon par bahut gandagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.