sahilon se kaho, main nahin aaunga
sāhiloñ se kaho, maiñ nahīñ ā.ūñgā
ab kisī shahr kī raat mere liye jagmagā.e nahīñ
dhuup būḌhe makānoñ kī ūñchī chhatoñ par mirā naam le kar bulā.e nahīñ
maiñ nahīñ ā.ūñgā
yaad aatā hai, ik din kisī se kahā thā
tujhe pahan kar duur ke shahr kī ajnabī dhartiyoñ meñ utar jā.ūñgā
maiñ aqīda huuñ: mar jā.ūñgā
yaad aatā hai, ik din kisī ne kahā thā
meñ tere liye, tere ehsās kī vādiyoñ kī ghanī chhāñv meñ pur-sukūñ
niiñd so jā.ūñgī
be-sadā lafz huuñ, terī āñkhoñ meñ kho jā.ūñgī
yaad aatā hai, ik din mire rū-ba-rū: ek pur-shor aur be-karāñ bahr thā
yaad aatā hai, ik din mire rū-ba-rū: meñ koī jāgtā jagmagātā huā
Dūbtā shahr thā
ek āvāz thii: dūriyoñ se bulātī huī
ek āvāz thii, duur ke ik akele pahāḌī nagar ke anokhe se manzar
dikhātī huī
mujh se chhū kar kahīñ duur jaatī huī
vaqt mujh se pare
vaqt tujh se pare
maiñ aqīda huuñ
tū be-sadā lafz hai
apne apne badan ke alaao meñ jal jā.eñge
duur ke
jagmagāte hue
muntazir sāhiloñ se kaho
ham nahīñ ā.eñge
ham nahīñ ā.eñge
sahilon se kaho, main nahin aaunga
ab kisi shahr ki raat mere liye jagmagae nahin
dhup buDhe makanon ki unchi chhaton par mera nam le kar bulae nahin
main nahin aaunga
yaad aata hai, ek din kisi se kaha tha
tujhe pahan kar dur ke shahr ki ajnabi dhartiyon mein utar jaunga
main aqida hun: mar jaunga
yaad aata hai, ek din kisi ne kaha tha
mein tere liye, tere ehsas ki wadiyon ki ghani chhanw mein pur-sukun
nind so jaungi
be-sada lafz hun, teri aankhon mein kho jaungi
yaad aata hai, ek din mere ru-ba-ru: ek pur-shor aur be-karan bahr tha
yaad aata hai, ek din mere ru-ba-ru: mein koi jagta jagmagata hua
Dubta shahr tha
ek aawaz thi: duriyon se bulati hui
ek aawaz thi, dur ke ek akele pahaDi nagar ke anokhe se manzar
dikhati hui
mujh se chhu kar kahin dur jati hui
waqt mujh se pare
waqt tujh se pare
main aqida hun
tu be-sada lafz hai
apne apne badan ke alao mein jal jaenge
dur ke
jagmagate hue
muntazir sahilon se kaho
hum nahin aaenge
hum nahin aaenge
- Book : Intekhab-e- kumaar paashii (Pg. 44)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.