sahir
hamesha tum ne apnā-āp apnī jeb meñ rakkhā
magar phir bhī kushāda-dil kushāda-dast kahlā.e
luTāyā tum ne ḳhud par dūsroñ ko muTThiyāñ bhar ke
hamesha chāhne vāloñ ko afsūñ kī tarah bartā
magar aise salīqe se
ki ḳhud ko sarf kar ke bhī kisī ko ġham nahīñ hotā
tumhārā sehr aisā hai
ki jis par kaam kar jaa.e
kabhī phir kam nahīñ hotā
tumhārā rañg jis par bhī chaḌhe
maddham nahīñ hotā
hamesha tum ne apna-ap apni jeb mein rakkha
magar phir bhi kushada-dil kushada-dast kahlae
luTaya tum ne KHud par dusron ko muTThiyan bhar ke
hamesha chahne walon ko afsun ki tarah barta
magar aise saliqe se
ki KHud ko sarf kar ke bhi kisi ko gham nahin hota
tumhaara sehr aisa hai
ki jis par kaam kar jae
kabhi phir kam nahin hota
tumhaara rang jis par bhi chaDhe
maddham nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.