sahira
vo sāhira thī yā kisī ḳhayāl kā vajūd thī
ḳhudī meñ ek ḳhvāb thī yā ḳhvāb kī numūd thī
vo aañkh thī yā jal rahe the sard raat ke diye
vo saañs thī ki chal rahe the ḳhushbuoñ ke qāfile
vo rahguzar pe chal rahī thī manzaroñ ke darmiyāñ
vo sā.ebāñ kiye hue thī sar pe us ke kahkashāñ
utar ke dil kī vādiyoñ meñ ek kaam kar ga.ī
tamāzatoñ ke shahr meñ hasīn shaam kar ga.ī
jamāl-e-husn-e-yār kī vafā bhī kyā hī ḳhuub thī
kamāl-e-dilbarī kī vo adā bhī kyā hī ḳhuub thī
vo titliyoñ ke rang sā banā huā thā pairahan
gulāb mausamoñ meñ jaise ghul rahā thā gul-badan
vo jugnūoñ ke des meñ khilī khilī sī chāñdnī
vo chāñdnī ke bhes meñ ruke ruke se mehr-o-māh
vo manzaroñ pe khul rahā thā us kā husn-e-jāvedāñ
qadam qadam pe ho rahe the us pe aa ke mehrbāñ
vo boltī to lafz us ke hoñT chūmte the nā
vo gungunā rahī thī to shajar bhī jhūmte the nā
vo zulf thī ki raat kā samāñ banā rahī thī yaar
vo muskurā ke manzaroñ kā dil jalā rahī thī yaar
vo dhaḌkanoñ ke saaz par bhī zindagī kā raqs thā
vo ā.ina-misāl thī yā ḳhushbuoñ kā aks thā
vo chūḌiyoñ kī taal par bhī kaif thā fazāoñ meñ
vo surma.ī sī shaam meñ kisī hasīn gaañv meñ
thī rū-ba-rū to yuuñ lagā ki chāñd aa gayā koī
falak pe aaTh rang kī dhanak banā gayā koī
vo haath thaam kar mirā chalī to phuul khil uThe
vo tāqchoñ meñ muntazir charāġh ḳhud hī jal uThe
vo saath saath thī to phir zamāñ badalne lag ga.e
zamāñ to phir zamāñ bhalā jahāñ badalne lag ga.e
guzār lī jo us ke sang zindagī tamām thī
baḌī hasīn sub.h thī baḌī hasīn shaam thī
wo sahira thi ya kisi KHayal ka wajud thi
KHudi mein ek KHwab thi ya KHwab ki numud thi
wo aankh thi ya jal rahe the sard raat ke diye
wo sans thi ki chal rahe the KHushbuon ke qafile
wo rahguzar pe chal rahi thi manzaron ke darmiyan
wo saeban kiye hue thi sar pe us ke kahkashan
utar ke dil ki wadiyon mein ek kaam kar gai
tamazaton ke shahr mein hasin sham kar gai
jamal-e-husn-e-yar ki wafa bhi kya hi KHub thi
kamal-e-dilbari ki wo ada bhi kya hi KHub thi
wo titliyon ke rang sa bana hua tha pairahan
gulab mausamon mein jaise ghul raha tha gul-badan
wo jugnuon ke des mein khili khili si chandni
wo chandni ke bhes mein ruke ruke se mehr-o-mah
wo manzaron pe khul raha tha us ka husn-e-jawedan
qadam qadam pe ho rahe the us pe aa ke mehrban
wo bolti to lafz us ke honT chumte the na
wo gunguna rahi thi to shajar bhi jhumte the na
wo zulf thi ki raat ka saman bana rahi thi yar
wo muskura ke manzaron ka dil jala rahi thi yar
wo dhaDkanon ke saz par bhi zindagi ka raqs tha
wo aaina-misal thi ya KHushbuon ka aks tha
wo chuDiyon ki tal par bhi kaif tha fazaon mein
wo surmai si sham mein kisi hasin ganw mein
thi ru-ba-ru to yun laga ki chand aa gaya koi
falak pe aaTh rang ki dhanak bana gaya koi
wo hath tham kar mera chali to phul khil uThe
wo taqchon mein muntazir charagh KHud hi jal uThe
wo sath sath thi to phir zaman badalne lag gae
zaman to phir zaman bhala jahan badalne lag gae
guzar li jo us ke sang zindagi tamam thi
baDi hasin subh thi baDi hasin sham thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.