sal-e-nau 2
sāl-e-nau kā pahlā din
ufuq kī dahlīz se
shahr ke āñgan meñ aate hue
Dar rahā hai
yā
shahr kā āñgan
sāl-e-nau ke pahle din ko
ufuq kī dahlīz par dekh kar
Dar rahā hai
yā
ufuq kī dahlīz
sāl-e-nau aur shahr kā āñgan donoñ se
Dar rahī hai
sal-e-nau ka pahla din
ufuq ki dahliz se
shahr ke aangan mein aate hue
Dar raha hai
ya
shahr ka aangan
sal-e-nau ke pahle din ko
ufuq ki dahliz par dekh kar
Dar raha hai
ya
ufuq ki dahliz
sal-e-nau aur shahr ka aangan donon se
Dar rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.