sal-e-nau 3
na.e saal kā būḌhā sūraj
apnī āñkheñ
shab ke ġhaar meñ
bhuul aaya hai
yā
shab ke ġhaar kī āñkheñ
na.e saal ke būḌhe sūraj ko
bhuul aa.ī haiñ
yā
merī āñkheñ
na.e sūraj ke andhe ġhaar meñ
ḳhud ko bhuul aa.ī haiñ
nae sal ka buDha suraj
apni aankhen
shab ke ghaar mein
bhul aaya hai
ya
shab ke ghaar ki aankhen
nae sal ke buDhe suraj ko
bhul aai hain
ya
meri aankhen
nae suraj ke andhe ghaar mein
KHud ko bhul aai hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.