sal-e-nau ka hangama
bartāniya kī chhiḌ ga.ī hindostāñ se jang
hālāñki is se jang hai saare jahāñ se jang
giitā se aur granth se zor-āzmā.iyāñ
qur.ān kī āyatoñ ke qushūn-e-girāñ se jang
arjun ke aur bhiim ke ghar se muqābla
phir ḳhāndān-e-sarvar-e-kaun-o-makāñ se jang
tauhīd ke alam ko jhukāne ke hausle
jo qudsiyoñ ke haath meñ hai us nishāñ se jang
sarhad ke ġhāziyoñ ko kuchalne kī niyyateñ
bachche se jang būḌhe se jang aur javāñ se jang
sulh o salām o amn-o-amāñ jis kī hai matā.a
ġhārat-garoñ kī Than ga.ī us kārvāñ se jang
barq aur duḳhāñ pe kyoñ na ho īmān ḳhanda-zan
karne chalī hai aaj zamīñ āsmāñ se jang
hai zer-dastiyoñ pe zabardastiyoñ kī tāḳht
morān-e-nīm-jān kī hai pīl-e-damāñ se jang
dhāvā sipāh-e-jabr kā hai ḳhail-e-sabr par
top aur tufang kī hai qalam aur zabāñ se jang
ham nā-tavāñ sahī hai ḳhudā to hamāre saath
ab bhī vo karte haiñ to kareñ nā-tavāñ se jang
zarre ke saath jang hai jang āftāb se
ḳhuffāsh kī abas hai shah-e-ḳhāvarāñ se jang
bartaniya ki chhiD gai hindostan se jang
haalanki is se jang hai sare jahan se jang
gita se aur granth se zor-azmaiyan
quran ki aayaton ke qushun-e-giran se jang
arjun ke aur bhim ke ghar se muqabla
phir KHandan-e-sarwar-e-kaun-o-makan se jang
tauhid ke alam ko jhukane ke hausle
jo qudsiyon ke hath mein hai us nishan se jang
sarhad ke ghaziyon ko kuchalne ki niyyaten
bachche se jang buDhe se jang aur jawan se jang
sulh o salam o amn-o-aman jis ki hai mataa
ghaarat-garon ki Than gai us karwan se jang
barq aur duKHan pe kyon na ho iman KHanda-zan
karne chali hai aaj zamin aasman se jang
hai zer-dastiyon pe zabardastiyon ki taKHt
moran-e-nim-jaan ki hai pil-e-daman se jang
dhawa sipah-e-jabr ka hai KHail-e-sabr par
top aur tufang ki hai qalam aur zaban se jang
hum na-tawan sahi hai KHuda to hamare sath
ab bhi wo karte hain to karen na-tawan se jang
zarre ke sath jang hai jang aaftab se
KHuffash ki abas hai shah-e-KHawaran se jang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.