sal-e-nau
nayā din hai na.e andāz se mahfil meñ jaam aa.e
ki sāġhar kī khanak meñ zauq-e-mastī kā payām aa.e
ki sāġhar kī khanak meñ zauq-e-mastī kā payām aa.e
mire yās-āfrīñ dil meñ na.ī ummīd paidā ho
shikast-e-tauba bhī ham-rañg-e-tajdīd-e-tamannā ho
mirī afsurdagī chhup jaa.e hoñToñ ke tabassum meñ
sukūt-e-zindagānī jazb ho jaa.e tarannum meñ
ragoñ meñ ḳhuun ke badle mai-e-do-ātisha bhar de
sadā-e-zindagānī ko hadīs-e-rang-o-bū kar de
ḳhizāñ-nā-āshnā.ī ho bahār-e-naujavānī meñ
hayāt-e-jāvedānī ke maze hoñ zindagānī meñ
mujhe le jaa.e manzil hī kī jānib laġhzish-e-pā bhī
ki be-hoshī ke parde meñ rahe hosh-e-tamannā bhī
uThā sāġhar ki phir bāb-e-tamannā baaz hai saaqī
uThā sāġhar ki duniyā kā nayā andāz hai saaqī
naya din hai nae andaz se mahfil mein jam aae
ki saghar ki khanak mein zauq-e-masti ka payam aae
ki saghar ki khanak mein zauq-e-masti ka payam aae
mere yas-afrin dil mein nai ummid paida ho
shikast-e-tauba bhi ham-rang-e-tajdid-e-tamanna ho
meri afsurdagi chhup jae honTon ke tabassum mein
sukut-e-zindagani jazb ho jae tarannum mein
ragon mein KHun ke badle mai-e-do-atisha bhar de
sada-e-zindagani ko hadis-e-rang-o-bu kar de
KHizan-na-ashnai ho bahaar-e-naujawani mein
hayat-e-jawedani ke maze hon zindagani mein
mujhe le jae manzil hi ki jaanib laghzish-e-pa bhi
ki be-hoshi ke parde mein rahe hosh-e-tamanna bhi
uTha saghar ki phir bab-e-tamanna baz hai saqi
uTha saghar ki duniya ka naya andaz hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.