sal-girah ki raat
aaj darvāze khule rahne do
yaad kī aag dahak uTThī hai
shāyad is raat hamāre shohdā aa jaa.eñ
aaj darvāze khule rahne do
jānte ho kabhī tanhā nahīñ chalte haiñ shahīd?
maiñ ne dariyā ke kināre jo pare dekhe haiñ
jo charāġhoñ kī laveñ dekhīñ haiñ
vo laveñ boltī thiiñ zinda zabānoñ kī tarah
maiñ ne sarhad pe vo naġhmāt sune haiñ ki jinheñ
kaun gā.egā shahīdoñ ke sivā?
maiñ ne hoñToñ pe tabassum kī na.ī tez chamak dekhī hai
nuur jis kā thā halāvat se sharābor
azānoñ kī tarah!
abhī sarhad se maiñ lauTā huuñ abhī,
maiñ abhī haañp rahā huuñ mujhe dam lene do
raaz vo un kī nigāhoñ meñ nazar aayā hai
jo hama-gīr thā nādīda zamānoñ kī tarah!
yaad kī aag dahak uTThī hai
sab tamannāoñ ke shahroñ meñ dahak uTThī hai
aaj darvāze khule rahne do
shāyad is raat hamāre shohdā aa jā.eñ!
vaqt ke paañv ulajh jaate haiñ āvāz kī zanjīroñ se
un kī jhankār se ḳhud vaqt jhanak uThtā hai
naġhma martā hai kabhī, naala bhī martā hai kabhī?
sansanāhaT kabhī jaatī hai mohabbat ke bujhe tīroñ se?
maiñ ne dariyā ke kināre unheñ yuuñ dekhā hai
maiñ ne jis aan meñ dekhā hai unheñ
shāyad is raat,
is shaam hii,
darvāzoñ pe dastak deñge!
shohdā itne subuk-pā haiñ ki jab ā.eñge
na kisī so.e parinde ko ḳhabar tak hogī
na daraḳhtoñ se kisī shāḳh ke girne kī sadā gūñjegī
phaḌphaḌāhaT kisī zambūr kī bhī kam hī sunā.ī degī
aaj darvāze khule rahne do!
abhī sarhad se maiñ lauTā huuñ abhī
paar jo guzregī us kā hameñ ġham hī kyuuñ ho?
paar kyā guzregī ma.alūm nahīñ
ek shab jis meñ
pareshānī-e-ālām se rūhoñ pe girānī taarī
rūheñ sunsān yatīm
un pe hamesha kī jafā.eñ bhārī
bū-e-kāfūr agar baste gharoñ se jaarī
be-panāh ḳhauf meñ rūyā-e-shikasta kī fuġhāñ uTThegī
bujhtī sham.oñ kā dhuāñ uTThegā
paar jo guzregī ma.alūm nahīñ
apne darvāze khule rahne do
aaj darwaze khule rahne do
yaad ki aag dahak uTThi hai
shayad is raat hamare shohda aa jaen
aaj darwaze khule rahne do
jaante ho kabhi tanha nahin chalte hain shahid?
main ne dariya ke kinare jo pare dekhe hain
jo charaghon ki lawen dekhin hain
wo lawen bolti thin zinda zabanon ki tarah
main ne sarhad pe wo naghmat sune hain ki jinhen
kaun gaega shahidon ke siwa?
main ne honTon pe tabassum ki nai tez chamak dekhi hai
nur jis ka tha halawat se sharabor
azanon ki tarah!
abhi sarhad se main lauTa hun abhi,
main abhi hanp raha hun mujhe dam lene do
raaz wo un ki nigahon mein nazar aaya hai
jo hama-gir tha nadida zamanon ki tarah!
yaad ki aag dahak uTThi hai
sab tamannaon ke shahron mein dahak uTThi hai
aaj darwaze khule rahne do
shayad is raat hamare shohda aa jaen!
waqt ke panw ulajh jate hain aawaz ki zanjiron se
un ki jhankar se KHud waqt jhanak uThta hai
naghma marta hai kabhi, nala bhi marta hai kabhi?
sansanahaT kabhi jati hai mohabbat ke bujhe tiron se?
main ne dariya ke kinare unhen yun dekha hai
main ne jis aan mein dekha hai unhen
shayad is raat,
is sham hi,
darwazon pe dastak denge!
shohda itne subuk-pa hain ki jab aaenge
na kisi soe parinde ko KHabar tak hogi
na daraKHton se kisi shaKH ke girne ki sada gunjegi
phaDphaDahaT kisi zambur ki bhi kam hi sunai degi
aaj darwaze khule rahne do!
abhi sarhad se main lauTa hun abhi
par jo guzregi us ka hamein gham hi kyun ho?
par kya guzregi malum nahin
ek shab jis mein
pareshani-e-alam se ruhon pe girani tari
ruhen sunsan yatim
un pe hamesha ki jafaen bhaari
bu-e-kafur agar baste gharon se jari
be-panah KHauf mein ruya-e-shikasta ki fughan uTThegi
bujhti shamon ka dhuan uTThega
par jo guzregi malum nahin
apne darwaze khule rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.