sal ka pahla KHat
saal kā pahlā ḳhat maiñ kis ke naam likhūñ
us ko jo mahbūb hai merā
us ko jo merā dushman hai
vaqt ke naam ye ḳhat likhtā huuñ
miltā hai mahbūb kab aisā
aisā dushman kaun milegā
vaqt ik lahreñ letā sāgar
pyaar kare to paar lagā de
vaar kare to tinke kī mānind bahā de
saal kā ye maktūb hai pahlā
saal kā ye din bhī pahlā hai
soch ki aage kyā likhnā hai
sal ka pahla KHat main kis ke nam likhun
us ko jo mahbub hai mera
us ko jo mera dushman hai
waqt ke nam ye KHat likhta hun
milta hai mahbub kab aisa
aisa dushman kaun milega
waqt ek lahren leta sagar
pyar kare to par laga de
war kare to tinke ki manind baha de
sal ka ye maktub hai pahla
sal ka ye din bhi pahla hai
soch ki aage kya likhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.