sal nau ke liye ek nazm
duā.eñ aur duāoñ se bharī
be-ant tahrīreñ
mujhe har saal ke in āḳhirī
lamhoñ meñ miltī haiñ
mere ahbāb ke nāmoñ meñ
aksar darj hotā hai
ḳhudā mahfūz rakkhe
saal bhar mujh ko balāoñ se
mujhe zahr ab maiñ lipTī havā.eñ
chhū ke na guzrīñ
mujhe maujūd aur aane vaale
saal ke lamhe
mubārak dar mubārak hoñ
yahī tahrīr maiñ ahbāb ko
vāpas luTātā huuñ
yahī jazbāt mere dostoñ
ke naam hote haiñ
magar phir vaqt ke hāthoñ
na jaane kyā guzartī hai
ki jo bhī tiir aatā hai
usī jānib se aatā hai
jahāñ se itr meñ Duubā huā
paiġhām aayā thā
jahāñ se saal bhar
mahfūz rahne kā
hasīñ malfūf
mere naam aayā thā
duaen aur duaon se bhari
be-ant tahriren
mujhe har sal ke in aaKHiri
lamhon mein milti hain
mere ahbab ke namon mein
aksar darj hota hai
KHuda mahfuz rakkhe
sal bhar mujh ko balaon se
mujhe zahr ab main lipTi hawaen
chhu ke na guzrin
mujhe maujud aur aane wale
sal ke lamhe
mubarak dar mubarak hon
yahi tahrir main ahbab ko
wapas luTata hun
yahi jazbaat mere doston
ke nam hote hain
magar phir waqt ke hathon
na jaane kya guzarti hai
ki jo bhi tir aata hai
usi jaanib se aata hai
jahan se itr mein Duba hua
paigham aaya tha
jahan se sal bhar
mahfuz rahne ka
hasin malfuf
mere nam aaya tha
- Book : Pakistani Adab (Pg. 105)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.