salgirah
kaun gustāḳh hai kyā naam hai kyuuñ aayā hai
pahre vaalo use ḳhanjar kī anī se roko
apnī bandūqoñ kī naalī se Darāo us ko
aur us par jo na maane use topoñ kī salāmī de do
jashn kā din hai mirī sālgirah kā din hai
aaj mahloñ meñ jaleñge mah-o-anjum ke charāġh
aaj bujhte hue chehroñ kī zarūrat kyā hai
aaj māyūs nigāhoñ kī zarūrat kyā hai
kaun bebāk hai baḌhtā hī chalā aatā hai
pahre vaalo use ḳhanjar kī anī se roko
aadmī hai ki mirā vahm hai aaseb hai ye
us ke chehre pe to zaḳhmoñ ke nishāñ tak bhī nahīñ
goliyāñ us ke siyah siine se Takrā ke chalī aatī haiñ
us ke hoñToñ pe tabassum hai ki muñh khole hue
azhdahā taḳht nigalne ko chalā aatā hai
maut kis bhes meñ aa.ī hai mujhe lene ko
aaj kyuuñ aa.ī hai kyuuñ aa.ī hai kyuuñ aa.ī hai
maiñ tujhe gauhar-o-almās diye detā huuñ
tere ThiThure hue hāthoñ ko harārat dūñgā
jashn kā din hai mirī sālgirah kā din hai
kaun ho kaun ho tum
ai ġharīboñ ke ḳhudāvand amīroñ ke rafīq
maiñ samajhtā thā mujhe aap na pahchāneñge
maiñ ne añgrez kī jailoñ meñ javānī kaaTī
maiñ ne ThiThure hue hāthoñ se jalā.e haiñ diye
jin kī lau aaj bhī tūfānoñ se Takrātī hai
jin ko añgrez kī phūñkoñ ne bujhānā chāhā
aur ḳhud un kī zabāñ jal ke siyah-fām huī
vo diye aaj bhī bar-laūñ kī chīḳhoñ se laḌe jaate haiñ
aap ko yaad na hogā shāyad
kaun ho kaun ho tum
maiñ ne tārīḳh kī lahroñ meñ ravānī de dī
maiñ ne būḌhoñ kī rag-o-pai meñ javānī de dī
maiñ ne jhukte hue shānoñ ko tavānā.ī dī
kār-ḳhāne mirī āvāz se bedār hue
aur ik merī hī āvāz nahīñ gūñjī thī
saikḌoñ vaqt se haare hue insān uThe
kuhra-e-vaqt pe chhāne ke liye
kaun ho kaun ho tum
aurāq meñ hī nahīñ aayā huuñ
saikḌoñ vaqt ke maare hue insān bhī haiñ
saikḌoñ vaqt pe chhā.e hue insān bhī haiñ
kaun ho kaun ho tum
aaj bhī ketiyoñ meñ bhuuk ugā kartī hai
kār-ḳhānoñ meñ dhueñ ke bādal
tauq aur āhanī zanjīroñ meñ Dhal jaate haiñ
kaun ho kaun ho tum
aap insān kī azmat pe yaqīñ rakhte haiñ
aap ke hukm ne kitnoñ kī zabāneñ sī diiñ
aap kī mumlikat adl meñ kitne bīmār
qaid-e-tanhā.ī meñ dam toḌ chuke
kaun ho kaun ho tum
aap kī beḌiyāñ afrād ko pāband banā saktī haiñ
aap kī beḌiyāñ insān ko pāband nahīñ kar saktīñ
kal yahī sham.a jo siine meñ farozāñ hai aaj
aap ke saare tilismāt jalā Dālegī
kal unhīñ khetoñ meñ ujḌe hue khaliyānoñ meñ
sāl-hā-sāl kī pāmāl zamīñ
apne siine ke ḳhazānoñ ko luTātī hogī
kār-ḳhāne bhī siyahkār ḳhudāoñ se rihā.ī pā kar
lākhoñ insānoñ kī taskīn kā sāmāñ hoñge
ik na.e ahd na.ī ziist kā unvāñ hoñge
aur phir vaqt kā bebāk mo.arriḳh aa kar
surḳh parcham ko salāmī degā
kaun ho kaun ho tum
bhārdvāj
kaun gustaKH hai kya nam hai kyun aaya hai
pahre walo use KHanjar ki ani se roko
apni banduqon ki nali se Darao us ko
aur us par jo na mane use topon ki salami de do
jashn ka din hai meri salgirah ka din hai
aaj mahlon mein jalenge mah-o-anjum ke charagh
aaj bujhte hue chehron ki zarurat kya hai
aaj mayus nigahon ki zarurat kya hai
kaun bebak hai baDhta hi chala aata hai
pahre walo use KHanjar ki ani se roko
aadmi hai ki mera wahm hai aaseb hai ye
us ke chehre pe to zaKHmon ke nishan tak bhi nahin
goliyan us ke siyah sine se Takra ke chali aati hain
us ke honTon pe tabassum hai ki munh khole hue
azhdaha taKHt nigalne ko chala aata hai
maut kis bhes mein aai hai mujhe lene ko
aaj kyun aai hai kyun aai hai kyun aai hai
main tujhe gauhar-o-almas diye deta hun
tere ThiThure hue hathon ko hararat dunga
jashn ka din hai meri salgirah ka din hai
kaun ho kaun ho tum
ai gharibon ke KHudawand amiron ke rafiq
main samajhta tha mujhe aap na pahchanenge
main ne angrez ki jailon mein jawani kaTi
main ne ThiThure hue hathon se jalae hain diye
jin ki lau aaj bhi tufanon se Takraati hai
jin ko angrez ki phunkon ne bujhana chaha
aur KHud un ki zaban jal ke siyah-fam hui
wo diye aaj bhi bar-laun ki chiKHon se laDe jate hain
aap ko yaad na hoga shayad
kaun ho kaun ho tum
main ne tariKH ki lahron mein rawani de di
main ne buDhon ki rag-o-pai mein jawani de di
main ne jhukte hue shanon ko tawanai di
kar-KHane meri aawaz se bedar hue
aur ek meri hi aawaz nahin gunji thi
saikDon waqt se haare hue insan uThe
kuhra-e-waqt pe chhane ke liye
kaun ho kaun ho tum
auraq mein hi nahin aaya hun
saikDon waqt ke mare hue insan bhi hain
saikDon waqt pe chhae hue insan bhi hain
kaun ho kaun ho tum
aaj bhi ketiyon mein bhuk uga karti hai
kar-KHanon mein dhuen ke baadal
tauq aur aahani zanjiron mein Dhal jate hain
kaun ho kaun ho tum
aap insan ki azmat pe yaqin rakhte hain
aap ke hukm ne kitnon ki zabanen si din
aap ki mumlikat adl mein kitne bimar
qaid-e-tanhai mein dam toD chuke
kaun ho kaun ho tum
aap ki beDiyan afrad ko paband bana sakti hain
aap ki beDiyan insan ko paband nahin kar saktin
kal yahi shama jo sine mein farozan hai aaj
aap ke sare tilismat jala Dalegi
kal unhin kheton mein ujDe hue khaliyanon mein
sal-ha-sal ki pamal zamin
apne sine ke KHazanon ko luTati hogi
kar-KHane bhi siyahkar KHudaon se rihai pa kar
lakhon insanon ki taskin ka saman honge
ek nae ahd nai zist ka unwan honge
aur phir waqt ka bebak moarriKH aa kar
surKH parcham ko salami dega
kaun ho kaun ho tum
bhaardwaj
- Book : Aina Khane (Pg. 204)
- Author : Akhtar payami
- Publication : Zain Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.