samraj ki shikast
Interesting Fact
(گوا کی فتح پر)
mādar-e-hind ke māthe kī shikan duur huī
chaar sau saal kī zillat kā nishāñ
shukr hai maġhribī tāqat kī ‘ufūnat bharī saañs
TuuT kar Duub ga.ī ḳhatm huā afsāna
ab goa meñ na koī ġhair jamā.egā qadam
hurriyat ‘azmat-o-‘izzat kā muqaddas parcham
ḳhushnumā sāhilī maidānoñ pe lahrā.egā
jal-parī gā.egī āzādī kā giit
lahreñ uTh uTh ke salāmī deñgī
gungunā.eñgī havā.eñ ki gayā daur-e-ḳhizāñ
mādar-e-hind ke hoñToñ pe tabassum hogā
aur peshānī pe sindūr kā ik nuqta-e-surḳh
us sipāhī kī hameñ yaad dilā.egā sadā
ḳhuun kā jis ne diyā bāġh-e-vatan ko tohfa
garche gumnām rahā daad kā tālib na huā
aah gumnām sipāhī tirī turbat ko salām
madar-e-hind ke mathe ki shikan dur hui
chaar sau sal ki zillat ka nishan
shukr hai maghribi taqat ki ‘ufunat bhari sans
TuT kar Dub gai KHatm hua afsana
ab goa mein na koi ghair jamaega qadam
hurriyat ‘azmat-o-‘izzat ka muqaddas parcham
KHushnuma sahili maidanon pe lahraega
jal-pari gaegi aazadi ka git
lahren uTh uTh ke salami dengi
gungunaengi hawaen ki gaya daur-e-KHizan
madar-e-hind ke honTon pe tabassum hoga
aur peshani pe sindur ka ek nuqta-e-surKH
us sipahi ki hamein yaad dilaega sada
KHun ka jis ne diya bagh-e-watan ko tohfa
garche gumnam raha dad ka talib na hua
aah gumnam sipahi teri turbat ko salam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.