sanp! aa kaT mujhe
sāñp! aa kaaT mujhe eḌī par
maiñ tujhe dāna-e-gandum kī qasam detā huuñ
shahr ke ūñche makānoñ pe chamaktā sūraj
mujh se kahtā hai ki tū nañgā hai
aur mirī ruuh mujhe kahtī hai
jism ko Dhāñk mirī shahr meñ tazlīl na kar
mujh ko ehsās hai maiñ nañgā huuñ
sub.h ke nuur ke mānind mujhe
koī malbūs azal se na milā
sabz pattoñ ne sahārā na diyā
sāñp! aa kaaT mujhe
baḳhsh de maut kā malbūs mujhe
dekh ab jism mirā
din kī garmī se jhulastā hai kabhī
aur phir raat kī sardī se TheThurtā hai kabhī
aur mirī ruuh mujhe kahtī hai
jism ko Dhāñk mirī shahr meñ tazlīl na kar
sāñp! aa kaaT mujhe eḌī par
aur mire jism ko ghultā huā tāñbā kar de
sub.h kā nuur jise dekh ke sharmā jaa.e
aur mirī ruuh kahe
ab tujhe maut nahīñ aa.egī
maiñ tujhe dāna-e-gandum kī qasam detā huuñ
sanp! aa kaT mujhe eDi par
main tujhe dana-e-gandum ki qasam deta hun
shahr ke unche makanon pe chamakta suraj
mujh se kahta hai ki tu nanga hai
aur meri ruh mujhe kahti hai
jism ko Dhank meri shahr mein tazlil na kar
mujh ko ehsas hai main nanga hun
subh ke nur ke manind mujhe
koi malbus azal se na mila
sabz patton ne sahaara na diya
sanp! aa kaT mujhe
baKHsh de maut ka malbus mujhe
dekh ab jism mera
din ki garmi se jhulasta hai kabhi
aur phir raat ki sardi se TheThurta hai kabhi
aur meri ruh mujhe kahti hai
jism ko Dhank meri shahr mein tazlil na kar
sanp! aa kaT mujhe eDi par
aur mere jism ko ghulta hua tanba kar de
subh ka nur jise dekh ke sharma jae
aur meri ruh kahe
ab tujhe maut nahin aaegi
main tujhe dana-e-gandum ki qasam deta hun
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 222)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.