sanp ka saya Khwab mere Das jata hai
kitnī dafa to
baḌhā, rukā maiñ us kī jānib
sadiyoñ vo mahkā kar merā zāhir o bātin
ka.ī yugoñ tak, us ne mujh ko yaad kiyā
aur kahā ye, naddī huuñ maiñ
naav bano tum Dolo mujh par
jhuum uTho tan kī chāñdī sonā pā kar
lekin mere jism ke vīrāne se koī
har dam mujh ko taak rahā hai
tan se aage
man-nagrī meñ jhāñk rahā hai
niiñd nashe ke
gyaan dhyān meñ saan rahā hai
sar se qadam tak taan rahā hai
kitni dafa to
baDha, ruka main us ki jaanib
sadiyon wo mahka kar mera zahir o baatin
kai yugon tak, us ne mujh ko yaad kiya
aur kaha ye, naddi hun main
naw bano tum Dolo mujh par
jhum uTho tan ki chandi sona pa kar
lekin mere jism ke virane se koi
har dam mujh ko tak raha hai
tan se aage
man-nagri mein jhank raha hai
nind nashe ke
gyan dhyan mein san raha hai
sar se qadam tak tan raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.