sans bhar hawa
maiñ ek hī saañs meñ
bahut sī zindagiyāñ jī letā huuñ
khiltī kalī se guzartā jhoñkā
fat.h-mand khilāḌī kā uḌtā pasīna
vasl kī lazzat se maġhlūb
aurat kī karāh
sar-e-shām diyā bujhāte
naujavān shā.er kī phūñk
bārish meñ girtī
kachchī chhat kā bojhal ġhubār
marne vaale ke siine se niklī
āḳhirī aah
maiñ ek hī saañs meñ
bahut sī mauteñ mar jaatā huuñ
main ek hi sans mein
bahut si zindagiyan ji leta hun
khilti kali se guzarta jhonka
fath-mand khilaDi ka uDta pasina
wasl ki lazzat se maghlub
aurat ki karah
sar-e-sham diya bujhate
naujawan shaer ki phunk
barish mein girti
kachchi chhat ka bojhal ghubar
marne wale ke sine se nikli
aaKHiri aah
main ek hi sans mein
bahut si mauten mar jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.