sans KHushbu se ladi jati hai
jab udāsī dar-o-dīvār pe chhā jaatī hai
dil ke tāroñ meñ kahīñ saat suroñ kī maalā
ek ḳhāmosh chhanāke se bikhar jaatī hai
jab maiñ hālāt ke baḳhshe hue māyūs añdheroñ meñ kahīñ duur bhaTak jaatī huuñ
haath ko haath sujhā.ī nahīñ dene lagtā
dil kisī zard sitāre kā savālī ban kar
ghup añdhere meñ kisī raah kī nākām talab kartā hai
tab kahīñ ḳhizr-sifat chāñd nikal aatā hai
shāḳh-e-jāñ par na.ī ummīd kī kaliyāñ sī mahak uThtī haiñ
saañs ḳhushbū se ladī jaatī hai
mujh pe chaltā nahīñ phir ghor añdheroñ kā tilism
ki mujhe us kī ulūhī kirneñ
ḳhud meñ mahsūr kiye rahtī haiñ
chāñd kā nuur ki mizrāb kī mānind mirī zaat ke sur
mujh ko lauTātā hai ik pyaar bharī lai ke saath
maiñ bhī hañstī huī duniyā meñ palaT aatī huuñ
in palaTte hue lamhāt kā e.azāz mire chāñd tujhe hāsil hai
terī din-rāt kī gardish hai mirī zaat ke gird
aur ik terī kashish se mire dil dariyā meñ
har-dam ik madd-o-jazar rahtā hai
tujh ko detā hai tirī zaat kā īqān agar merā vajūd
maiñ bhī tujh se tirī kirneñ le kar
apne qadmoñ ko jamā paatī huuñ
haañ tujhe rabb-e-azal
tā-abad yuuñ hī mire sar pe chamaktā rakkhe
merī maañ
umr-e-ravāñ kā ehsās
jab udasi dar-o-diwar pe chha jati hai
dil ke taron mein kahin sat suron ki mala
ek KHamosh chhanake se bikhar jati hai
jab main haalat ke baKHshe hue mayus andheron mein kahin dur bhaTak jati hun
hath ko hath sujhai nahin dene lagta
dil kisi zard sitare ka sawali ban kar
ghup andhere mein kisi rah ki nakaam talab karta hai
tab kahin KHizr-sifat chand nikal aata hai
shaKH-e-jaan par nai ummid ki kaliyan si mahak uThti hain
sans KHushbu se ladi jati hai
mujh pe chalta nahin phir ghor andheron ka tilism
ki mujhe us ki uluhi kirnen
KHud mein mahsur kiye rahti hain
chand ka nur ki mizrab ki manind meri zat ke sur
mujh ko lauTata hai ek pyar bhari lai ke sath
main bhi hansti hui duniya mein palaT aati hun
in palaTte hue lamhat ka eazaz mere chand tujhe hasil hai
teri din-raat ki gardish hai meri zat ke gird
aur ek teri kashish se mere dil dariya mein
har-dam ek madd-o-jazar rahta hai
tujh ko deta hai teri zat ka iqan agar mera wajud
main bhi tujh se teri kirnen le kar
apne qadmon ko jama pati hun
han tujhe rabb-e-azal
ta-abad yun hi mere sar pe chamakta rakkhe
meri man
umr-e-rawan ka ehsas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.