sans ki lakiren
ye havā kā khel hai
maiñ bhī nahīñ tū bhī nahīñ hai
shaam ke raste pe uḌtī dhuul ke ḳhāke haiñ ham
saañs uljhī sī lakīreñ
rang āvāzoñ ke dīvāroñ pe miTTī ke purāne naqsh haiñ
sard sah-pahroñ meñ
jaldī jaldī chaltī dhuup kī tarah ravāñ haiñ
hoñT aur ye haath saare be-nishāñ haiñ
shaam kī dahlīz se aage
purānā sā koī ghar hai
jahāñ maiñ bhī huuñ tū bhī jahāñ hai
is jagah koī nahīñ
maiñ bhī nahīñ tū bhī nahīñ
ye hawa ka khel hai
main bhi nahin tu bhi nahin hai
sham ke raste pe uDti dhul ke KHake hain hum
sans uljhi si lakiren
rang aawazon ke diwaron pe miTTi ke purane naqsh hain
sard sah-pahron mein
jaldi jaldi chalti dhup ki tarah rawan hain
honT aur ye hath sare be-nishan hain
sham ki dahliz se aage
purana sa koi ghar hai
jahan main bhi hun tu bhi jahan hai
is jagah koi nahin
main bhi nahin tu bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.