sans lene ka sukh
ham kabhī rāste meñ nahīñ
is kā matlab magar ye nahīñ hai
ki ham qāfile meñ nahīñ
ham ko mā'lūm rahtā hai kal shaam se
kaun se uuñT bīmār haiñ aur kyoñ
bas hameñ samt se koī matlab nahīñ
manzileñ-vanzileñ ham nahīñ jānte
sirf hone kā sukh
saañs lene kā sukh hī bahut hai hameñ
hum kabhi raste mein nahin
is ka matlab magar ye nahin hai
ki hum qafile mein nahin
hum ko ma'lum rahta hai kal sham se
kaun se unT bimar hain aur kyon
bas hamein samt se koi matlab nahin
manzilen-wanzilen hum nahin jaante
sirf hone ka sukh
sans lene ka sukh hi bahut hai hamein
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 137)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.