sanson ke bandhan
sajā sajāyā ye ghar salīqe kī saarī chīzeñ
tamām kamroñ meñ kis qarīne se saj rahī haiñ
ye band almāriyoñ meñ rakkhī huī kitābeñ
ye television ye radio ye fridge ye sofe
ye mez kursī ye narm bistar
ye bistaraoñ kī gudāz rāteñ
hasīn sub.heñ
ye merī biivī ye mere bachche
ye saarī āsā.isheñ ye rasmeñ
ye saare rishte ye saare bandhan
maiñ jin kī sāñsoñ meñ bas rahā huuñ
ye sab to mere haiñ maiñ kahāñ huuñ
saja sajaya ye ghar saliqe ki sari chizen
tamam kamron mein kis qarine se saj rahi hain
ye band almariyon mein rakkhi hui kitaben
ye telewision ye radio ye fridge ye sofe
ye mez kursi ye narm bistar
ye bistaraon ki gudaz raaten
hasin subhen
ye meri biwi ye mere bachche
ye sari aasaishen ye rasmen
ye sare rishte ye sare bandhan
main jin ki sanson mein bas raha hun
ye sab to mere hain main kahan hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.