sanson ki paighambari
bār-hā aisī tanhā.iyoñ meñ
ki jab tīrgī bol uThe
zā.iqa mausamoñ kā zabāñ par yakāyak badal jaa.e
ham sab yahī sochte haiñ
ki shāyad koī aur haiñ
magar kaun?
vaqfa-e-umr meñ kis ne samjhā hai
sab maut hī ko visāl apnā kahte haiñ
sab maut ke muntazir haiñ
maiñ ne aur sirf maiñ ne
terī sāñsoñ meñ
terī sāñsoñ meñ
apnā umaDtā barastā huā sail dekhā hai
jo roz-e-avval aur āḳhir muqaddar hai
jo ibtidā intihā hai
log jis ke liye maut ke muntazir haiñ
log be-vaj.h kyuuñ maut ke muntazir haiñ?
koī shai jhiil kī tah meñ jab Dūbtī hai
to ik bulbula jāgtā hai
kitnā bechain sīmāb-pā
raaz tah ke ugaltā hai aur TūTtā hai
usī dam
sat.h ko chūmtī sab havā.eñ ye kahtī haiñ
''kuchh bhī nahīñ
kisī tah meñ gahrā.ī meñ kuchh nahīñ
maut be-faiz sā sāneha hai''
log be-vaj.h kyuuñ maut ke muntazir haiñ?
bar-ha aisi tanhaiyon mein
ki jab tirgi bol uThe
zaiqa mausamon ka zaban par yakayak badal jae
hum sab yahi sochte hain
ki shayad koi aur hain
magar kaun?
waqfa-e-umr mein kis ne samjha hai
sab maut hi ko visal apna kahte hain
sab maut ke muntazir hain
main ne aur sirf main ne
teri sanson mein
teri sanson mein
apna umaDta barasta hua sail dekha hai
jo roz-e-awwal aur aaKHir muqaddar hai
jo ibtida intiha hai
log jis ke liye maut ke muntazir hain
log be-wajh kyun maut ke muntazir hain?
koi shai jhil ki tah mein jab Dubti hai
to ek bulbula jagta hai
kitna bechain simab-pa
raaz tah ke ugalta hai aur TuTta hai
usi dam
sath ko chumti sab hawaen ye kahti hain
kuchh bhi nahin
kisi tah mein gahrai mein kuchh nahin
maut be-faiz sa saneha hai
log be-wajh kyun maut ke muntazir hain?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.