sarangi
dam-sāz hazār dāstāñ hai
ye soz-o-gudāz kā jahāñ hai
nairang-e-surūr-o-shādmānī
har bol meñ ik na.ī kahānī
har taan pe aks aarzū kā
be-lafz maza hai guftugū kā
har sur kī sadā khanak rahī hai
lahje meñ dhanak lachak rahī hai
dhīmī sad-rang aañch lai kī
zinda tasvīr kaif-e-mai kī
pardoñ se nikal ke mauj-e-sargam
ḳhvāboñ ko jagā rahī hai paiham
āvāz ke zer-o-bam se mil ke
larzāñ haiñ tamām taar dil ke
rāgoñ ke jo daur chal rahe haiñ
yādoñ ke charāġh jal rahe haiñ
rakhtā hai nishāt-o-ġham pe qaabū
sangīt kā be-panāh jaadū
sangīn samāñ badal gayā hai
har dard ḳhushī meñ Dhal gayā hai
dam-saz hazar dastan hai
ye soz-o-gudaz ka jahan hai
nairang-e-surur-o-shadmani
har bol mein ek nai kahani
har tan pe aks aarzu ka
be-lafz maza hai guftugu ka
har sur ki sada khanak rahi hai
lahje mein dhanak lachak rahi hai
dhimi sad-rang aanch lai ki
zinda taswir kaif-e-mai ki
pardon se nikal ke mauj-e-sargam
KHwabon ko jaga rahi hai paiham
aawaz ke zer-o-bam se mil ke
larzan hain tamam tar dil ke
ragon ke jo daur chal rahe hain
yaadon ke charagh jal rahe hain
rakhta hai nishat-o-gham pe qabu
sangit ka be-panah jadu
sangin saman badal gaya hai
har dard KHushi mein Dhal gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.