sare jazbon ka sahar bikhar gaya hai
saare jazboñ kā sahar bikhar gayā hai
saare rishtoñ kā bharam TuuT gayā hai
maiñ ne apnī chāhat ke sivā
kuchh bhī nahīñ dekhā
kisī be-jān shai par bhī
nazar nahīñ Daalī
tumhāre andar jiitī rahī huuñ
tum se be-ḳhabar ho kar
apne aap se bhī be-ḳhabar ho kar
maiñ ne tum meñ
sirf apne aap ko dekhā
ye saarā ishq merā
ḳhud apnī hī zaat se thā
tum ajnabī the mere liye
ajnabī hī rahe
maiñ ajnabī thī apne se
ajnabī na rahī
apne aap ko pā kar
zahr apnā pī rahī huuñ
jī rahī huuñ
sare jazbon ka sahar bikhar gaya hai
sare rishton ka bharam TuT gaya hai
main ne apni chahat ke siwa
kuchh bhi nahin dekha
kisi be-jaan shai par bhi
nazar nahin Dali
tumhaare andar jiti rahi hun
tum se be-KHabar ho kar
apne aap se bhi be-KHabar ho kar
main ne tum mein
sirf apne aap ko dekha
ye sara ishq mera
KHud apni hi zat se tha
tum ajnabi the mere liye
ajnabi hi rahe
main ajnabi thi apne se
ajnabi na rahi
apne aap ko pa kar
zahr apna pi rahi hun
ji rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.