sari umr ganwa di humne
saarī umr gañvā dī ham ne
par itnī sī baat bhī ham na jaan sake
khiḌkī kā paT khulte hī jo
lash lash kartā
ek chamaktā manzar ham ko dikhtā hai
kyā vo manzar
khiḌkī kī chaukhaT se bāhar
sabz pahāḌī ke qadmoñ meñ
ik shaffāf nadī se chimTe
patthar par chup chaap khaḌe
ik paikar kā gum-sum manzar hai
jis ko khiḌkī ke khulne na khulne se
kuchh ġharaz nahīñ hai
yā ham
khiḌkī ke andar kā manzar dekh rahe haiñ
saarī umr gañvā dī ham ne
sari umr ganwa di hum ne
par itni si baat bhi hum na jaan sake
khiDki ka paT khulte hi jo
lash lash karta
ek chamakta manzar hum ko dikhta hai
kya wo manzar
khiDki ki chaukhaT se bahar
sabz pahaDi ke qadmon mein
ek shaffaf nadi se chimTe
patthar par chup chap khaDe
ek paikar ka gum-sum manzar hai
jis ko khiDki ke khulne na khulne se
kuchh gharaz nahin hai
ya hum
khiDki ke andar ka manzar dekh rahe hain
sari umr ganwa di hum ne
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 159)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999)
- Edition : Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.