sat paheliyan
bilāl 'asvad'
kaun sā saaz hai
jo kānoñ meñ
sātoñ sur dahkā saktā hai
kaun sā manzar
āñkhoñ andar
sat-rañgī sulgā saktā hai
kyā koī dariyā aisā bhī hai
jis ke saath maiñ bah kar
saat ke saat samundar paar ho jaa.eñ
kyā koī lamha aisā bhī hai
jis kā puurā dukh jī lo to
saat janam svīkār ho jaa.eñ
kis hairat ko oḌhe
ek ajūba dekheñ
aur sātoñ ko saath meñ paa.eñ
is dhartī ke kis kone par
jā kar saat zamīneñ DhūñDeñ
aur un sab kī miTTī apne haath meñ paa.eñ
kis taare par sīḌhī rakh kar
apne rab kā mimbar dekheñ
aur phir in ġhaibī āñkhoñ se
us ke sātoñ ambar dekheñ
bilal 'aswad'
kaun sa saz hai
jo kanon mein
saton sur dahka sakta hai
kaun sa manzar
aankhon andar
sat-rangi sulga sakta hai
kya koi dariya aisa bhi hai
jis ke sath main bah kar
sat ke sat samundar par ho jaen
kya koi lamha aisa bhi hai
jis ka pura dukh ji lo to
sat janam swikar ho jaen
kis hairat ko oDhe
ek ajuba dekhen
aur saton ko sath mein paen
is dharti ke kis kone par
ja kar sat zaminen DhunDen
aur un sab ki miTTi apne hath mein paen
kis tare par siDhi rakh kar
apne rab ka mimbar dekhen
aur phir in ghaibi aankhon se
us ke saton ambar dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.