sathi mere
sāthī mere
aao kuchh aur der merā saath nibhāo
sāhil-e-zindagī par chand qadam aur mere sang milāo
hijr kī tez surḳh āñdhī chal paḌī hai
aur merī in yatīm o bekas tanhā.iyoñ meñ
beva maañ kī tarah bain kartī pāgal havā.eñ boltī haiñ
maiñ sākit-o-jāmid khaḌī
ḳhāmosh lab bhīñche tujhe dekhtī huuñ
aur sochtī huuñ
kaash aisā ho
tū paḌh sake merī soch ko
haiñ bachīñ ab faqat chand musta.ār sāñseñ merī
nazar meñ bhī haiñ kuchh ajab sī dhundlāhaTeñ
zarb paḌ chukī hai naqqārā-e-kūch par
izrā.īl ne jakaḌ rakhī haiñ merī ye bāñheñ
maiñ had se ziyāda majbūr huuñ
tum to samajh jaao in majbūriyoñ ko
chalo is bahte vaqt ko amar banāo
saath mere chand aur sā.ateñ bitāo
aaj phir sang mere taare ginvāo
hai ab merā safar majāz se haqīqī kī jānib
ek alvidā'ī bosa
mere māthe par sabt karo
mujhe apnī is mohabbat se āzād karo
merī muTThiyoñ meñ haiñ bahut sī yādoñ ke jugnū
ka.ī rang-dār titliyoñ ke rang
mujhe in tamām yādoñ se āzād karo
ek baar muTThī khol kar mujhe uḌ jaane do
sāthī mere
bas itnā hī tumhārā merā saath thā
chalo ab tum vāpas lauT jaao
Dhalte sūraj kī nāranjī raushnī meñ
maiñ bhī lauT jaatī huuñ
ufuq ke us paar
dobāra milne ke liye
sathi mere
aao kuchh aur der mera sath nibhao
sahil-e-zindagi par chand qadam aur mere sang milao
hijr ki tez surKH aandhi chal paDi hai
aur meri in yatim o bekas tanhaiyon mein
bewa man ki tarah bain karti pagal hawaen bolti hain
main sakit-o-jamid khaDi
KHamosh lab bhinche tujhe dekhti hun
aur sochti hun
kash aisa ho
tu paDh sake meri soch ko
hain bachin ab faqat chand mustaar sansen meri
nazar mein bhi hain kuchh ajab si dhundlahaTen
zarb paD chuki hai naqqara-e-kuch par
izrail ne jakaD rakhi hain meri ye banhen
main had se ziyaada majbur hun
tum to samajh jao in majburiyon ko
chalo is bahte waqt ko amar banao
sath mere chand aur saaten bitao
aaj phir sang mere tare ginwao
hai ab mera safar majaz se haqiqi ki jaanib
ek alwida'i bosa
mere mathe par sabt karo
mujhe apni is mohabbat se aazad karo
meri muTThiyon mein hain bahut si yaadon ke jugnu
kai rang-dar titliyon ke rang
mujhe in tamam yaadon se aazad karo
ek bar muTThi khol kar mujhe uD jaane do
sathi mere
bas itna hi tumhaara mera sath tha
chalo ab tum wapas lauT jao
Dhalte suraj ki naranji raushni mein
main bhi lauT jati hun
ufuq ke us par
dobara milne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.