sathi
phuul kī ḳhushbū hañstī aa.ī
mere basere ko mahkāne
maiñ ḳhushbū meñ ḳhushbū mujh meñ
us ko maiñ jānūñ mujh ko vo jaane
mujh se chhū kar mujh meñ bas kar
is kī bahāreñ us ke zamāne
lākhoñ phūloñ kī mahkāreñ
rakhte haiñ gulshan vīrāne
mujh se alag haiñ mujh se judā haiñ
maiñ begāna vo begāne
un ko bikherā un ko uḌāyā
dast-e-ḳhizāñ ne mauj-e-sabā ne
bhūlā-bhaTkā nādāñ qatra
ā.ankhoñ kī putlī ko sajāne
aañsū ban kar dauḌā aayā
merī palkeñ us ke Thikāne
us kā thiraknā us kā taḌapnā
mere qisse mere fasāne
us kī hastī merī hastī
us ke motī mere ḳhazāne
baaqī saare gauhar-pāre
ḳhaak ke zarre ret ke daane
parbat kī ūñchī choTī se
dāman phailāyā jo ghaTā ne
ThanDī havā ke ThanDe jhoñke
be-ḳhud āvāra mastāne
apnī ThanDak le kar aa.e
merī aag meñ ghul-mil jaane
un kī hastī kā pairāhan
merī saañs ke tāne-bāne
un ke jhakole merī umañgeñ
un kī navā.eñ mere tarāne
baaqī saare tūfānoñ ko
jazb kiyā pahnā-e-fazā ne
fitrat kī ye gūnāgūnī
gulshan bin vaadī vīrāne
kāñTe kaliyāñ nuur añdherā
anjuman.en sham.eñ parvāne
lākhoñ shātir lākhoñ mohre
phaile haiñ shatranj ke ḳhāne
jāntā huuñ maiñ ye sab kyā haiñ
sahbā se ḳhālī paimāne
bhūkī miTTī ko sauñpe haiñ
duniyā ne apne nazrāne
jis ne merā dāman thāmā
aayā jo mujh meñ bas jaane
mere tūfānoñ meñ bahne
merī maujoñ meñ lahrāne
mere soz-e-dil kī lau se
apne man kī jot jagāne
ziist kī pahnā.ī meñ phaile
maut kī gīrā.ī ko na jaane
us kā barbat mere naġhme
us ke gesū mere shāne
merī nazreñ us kī duniyā
merī sāñseñ us ke zamāne
phul ki KHushbu hansti aai
mere basere ko mahkane
main KHushbu mein KHushbu mujh mein
us ko main jaanun mujh ko wo jaane
mujh se chhu kar mujh mein bas kar
is ki bahaaren us ke zamane
lakhon phulon ki mahkaren
rakhte hain gulshan virane
mujh se alag hain mujh se juda hain
main begana wo begane
un ko bikhera un ko uDaya
dast-e-KHizan ne mauj-e-saba ne
bhula-bhaTka nadan qatra
aaankhon ki putli ko sajaane
aansu ban kar dauDa aaya
meri palken us ke Thikane
us ka thirakna us ka taDapna
mere qisse mere fasane
us ki hasti meri hasti
us ke moti mere KHazane
baqi sare gauhar-pare
KHak ke zarre ret ke dane
parbat ki unchi choTi se
daman phailaya jo ghaTa ne
ThanDi hawa ke ThanDe jhonke
be-KHud aawara mastane
apni ThanDak le kar aae
meri aag mein ghul-mil jaane
un ki hasti ka pairahan
meri sans ke tane-bane
un ke jhakole meri umangen
un ki nawaen mere tarane
baqi sare tufanon ko
jazb kiya pahna-e-faza ne
fitrat ki ye gunaguni
gulshan bin wadi virane
kanTe kaliyan nur andhera
anjumanen shamen parwane
lakhon shatir lakhon mohre
phaile hain shatranj ke KHane
jaanta hun main ye sab kya hain
sahba se KHali paimane
bhuki miTTi ko saunpe hain
duniya ne apne nazrane
jis ne mera daman thama
aaya jo mujh mein bas jaane
mere tufanon mein bahne
meri maujon mein lahrane
mere soz-e-dil ki lau se
apne man ki jot jagane
zist ki pahnai mein phaile
maut ki girai ko na jaane
us ka barbat mere naghme
us ke gesu mere shane
meri nazren us ki duniya
meri sansen us ke zamane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.