sawan ka aaKHiri din
sāvan
terī bhīgī palkeñ
jhukī huī achchhī lagtī haiñ
Tap Tap girtī nirmal būñdeñ
shab bhar Tiin kī ThanDī chhat par
nāzuk sī poroñ se Type kartī huī
achchhī lagtī haiñ
ga.e dinoñ ke naam
mo.attar ḳhat likhtī achchhī lagtī haiñ
chhat ke niile kāġhaz ke nīche maiñ ḳhud bhī
jaise ik mailā sā korā kāġhaz huuñ
mere badan par
poroñ kī mīThī zarboñ se
lafzoñ ke saa.e utre haiñ
ḳhat ke saare shabd mujhe pahchān ga.e haiñ
kyā likkhā hai
kyā jānūñ maiñ kyā likkhā hai
kaun sī aisī anhonī sī baat thī jis ne
barsoñ pahle
na kahne ke pallū se ḳhud ko bāñdhā thā
aur phir dil kī Dolī meñ mahbūs huī thī
itne lambe bojhal sāloñ
ḳhud se bhī vo chhipī rahī thī
aaj use kis majbūrī ne
lafzoñ ke lab chhū lene par uksāyā hai
ga.e dinoñ ke naam ye naama likhvāyā hai
sāvan kā ye āḳhirī din hai
kal jab bhādoñ aa jā.egā
Tiin kī chhat par apne ujle par phailānā
aane vaalī surḳh rutoñ ke
ḳhvāboñ meñ jab kho jā.egā
sab āvāzeñ tham jā.eñgī
palkeñ thak kar so jā.eñgī
ga.e dinoñ kā naam
manoñ miTTī ke nīche dab jā.egā
aglā sāvan kab aa.egā
sawan
teri bhigi palken
jhuki hui achchhi lagti hain
Tap Tap girti nirmal bunden
shab bhar Tin ki ThanDi chhat par
nazuk si poron se Type karti hui
achchhi lagti hain
gae dinon ke nam
moattar KHat likhti achchhi lagti hain
chhat ke nile kaghaz ke niche main KHud bhi
jaise ek maila sa kora kaghaz hun
mere badan par
poron ki miThi zarbon se
lafzon ke sae utre hain
KHat ke sare shabd mujhe pahchan gae hain
kya likkha hai
kya jaanun main kya likkha hai
kaun si aisi anhoni si baat thi jis ne
barson pahle
na kahne ke pallu se KHud ko bandha tha
aur phir dil ki Doli mein mahbus hui thi
itne lambe bojhal salon
KHud se bhi wo chhipi rahi thi
aaj use kis majburi ne
lafzon ke lab chhu lene par uksaya hai
gae dinon ke nam ye nama likhwaya hai
sawan ka ye aaKHiri din hai
kal jab bhadon aa jaega
Tin ki chhat par apne ujle par phailana
aane wali surKH ruton ke
KHwabon mein jab kho jaega
sab aawazen tham jaengi
palken thak kar so jaengi
gae dinon ka nam
manon miTTi ke niche dab jaega
agla sawan kab aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.