sawan ki ghaTa
muskurātī huī aatī hai ghaTā sāvan kī
jī lubhātī huī aatī hai ghaTā sāvan kī
giit koyal ke papīhoñ kī sadā mor kā shor
gungunātī huī aatī hai ghaTā sāvan kī
kyoñ na ham-joliyāñ gulzār meñ jhūlā jhūleñ
lahlahātī huī aatī hai ghaTā sāvan kī
kohsāroñ kā ḳhayābānoñ kā gulzāroñ kā
muñh dhulātī huī aatī hai ghaTā sāvan kī
mauj-e-nik.hat se ḳhudā.ī mahak uThī 'aḳhtar'
phuul uḌātī huī aatī hai ghaTā sāvan kī
muskuraati hui aati hai ghaTa sawan ki
ji lubhati hui aati hai ghaTa sawan ki
git koyal ke papihon ki sada mor ka shor
gungunati hui aati hai ghaTa sawan ki
kyon na ham-joliyan gulzar mein jhula jhulen
lahlahati hui aati hai ghaTa sawan ki
kohsaron ka KHayabanon ka gulzaron ka
munh dhulati hui aati hai ghaTa sawan ki
mauj-e-nikhat se KHudai mahak uThi 'aKHtar'
phul uDati hui aati hai ghaTa sawan ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.