sayon ke sae mein
muntazir
mutashavvash o muntashir
kitne makānoñ kī qatāreñ
us
khañDar kī or
jo shāyad kabhī mābad-kada haiñ
un kā
jin ke gum hone se haiñ
gum-sum
sabhī galiyāñ aur
guzargāhoñ pe mañDlātā huā
āsebī saaya
moḌ par
ruktī sisaktī
ajnabī sāyoñ se
sahmī
koī parchhā.īñ palaTtī
bhāgte qadmoñ kī aahaT
Duub jaatī
aabjū ke
Thiik
bīchoñ-bīch
muntazir
mutashawwash o muntashir
kitne makanon ki qataren
us
khanDar ki or
jo shayad kabhi mabad-kada hain
un ka
jin ke gum hone se hain
gum-sum
sabhi galiyan aur
guzargahon pe manDlata hua
aasebi saya
moD par
rukti sisakti
ajnabi sayon se
sahmi
koi parchhain palaTti
bhagte qadmon ki aahaT
Dub jati
aabju ke
Thik
bichon-bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.