falak par anjum-e-tābāñ the masrūf-e-daraḳhshānī
barastā thā zamīñ par āsmāñ se nuur kā paanī
shuā.eñ apnā sīmīñ-jāl duniyā par bichhātī thiiñ
dar-o-dīvār par paḌ kar tilsim-e-shab miTātī thiiñ
kuchh aise oḌh rakhī thī fazā ne nuur kī chādar
gumāñ hotā thā jis par ye ki hai billor kī chādar
liye hāthoñ meñ neze chāñd kī kirneñ jhapaTtī thiiñ
siyah-poshān tārīkī kī har saf ko ulaTtī thiiñ
syāhī kā kahīñ ashjār ke saa.e meñ Derā thā
kahīñ tārīk ġhāroñ meñ milā us ko baserā thā
jo manzar thā vo sīmīñ thā jo nazāra thā sīmābī
manāne ko thī fitrat aaj goyā jashn-e-mahtābī
baḌhe aate the lashkar nuur ke kirnoñ ko faujeñ thiiñ
samundar zor par thā aur tūfāñ-ḳhez maujeñ thiiñ
zamīñ par āsmāñ par koh par vaadī pe dariyā par
chaman par shahar par bastī pe vīrāne pe sahrā par
masājid aur manādir hoTaloñ aur qahva-ḳhānoñ par
ġharīboñ ke gharoñ par aur amīroñ ke makānoñ par
samundar ke kināroñ aur pahāḌoñ kī chaTTānoñ par
jahāzoñ ke nishānoñ kashtiyoñ ke bādbānoñ par
ġharaz har jism par har jism par thā nuur kā aalam
jahāñ ke zarre zarre par thā barq-e-nūr kā aalam
nazar ke sāmne thā is tarah nazāra-e-fitrat
ki fitrat jhūltī hai aaj ḳhud gahvarā-e-fitrat
falak naqqāshiyoñ ke rañg jab fitrat meñ bhartā thā
maiñ in naqqāshiyoñ meñ justajū-e-sher kartā thā
manāzir dekh kar maiñ ho rahā thā mahv-e-mad-hoshī
mire kānoñ meñ aatī thī sadā-e-sāz-e-ḳhāmoshī
falak par anjum-e-taban the masruf-e-daraKHshani
barasta tha zamin par aasman se nur ka pani
shuaen apna simin-jal duniya par bichhati thin
dar-o-diwar par paD kar tilsim-e-shab miTati thin
kuchh aise oDh rakhi thi faza ne nur ki chadar
guman hota tha jis par ye ki hai billor ki chadar
liye hathon mein neze chand ki kirnen jhapaTti thin
siyah-poshan tariki ki har saf ko ulaTti thin
syahi ka kahin ashjar ke sae mein Dera tha
kahin tarik ghaaron mein mila us ko basera tha
jo manzar tha wo simin tha jo nazara tha simabi
manane ko thi fitrat aaj goya jashn-e-mahtabi
baDhe aate the lashkar nur ke kirnon ko faujen thin
samundar zor par tha aur tufan-KHez maujen thin
zamin par aasman par koh par wadi pe dariya par
chaman par shahar par basti pe virane pe sahra par
masajid aur manadir hoTalon aur qahwa-KHanon par
gharibon ke gharon par aur amiron ke makanon par
samundar ke kinaron aur pahaDon ki chaTTanon par
jahazon ke nishanon kashtiyon ke baadbanon par
gharaz har jism par har jism par tha nur ka aalam
jahan ke zarre zarre par tha barq-e-nur ka aalam
nazar ke samne tha is tarah nazara-e-fitrat
ki fitrat jhulti hai aaj KHud gahwara-e-fitrat
falak naqqashiyon ke rang jab fitrat mein bharta tha
main in naqqashiyon mein justaju-e-sher karta tha
manazir dekh kar main ho raha tha mahw-e-mad-hoshi
mere kanon mein aati thi sada-e-saz-e-KHamoshi
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 230)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.