saz-e-mustaqbil
kitne asnām nā-tarāshīda
pattharoñ hī meñ kasmasāte haiñ
kitne hī nā-shagufta lāla-o-gul
zehn-e-bulbul ko gudgudāte haiñ
kitne hī jalva-hā-e-nādīda
abhī parde meñ muskurāte haiñ
nā-sarā.īdā kitne hī naġhme
dil ke tāroñ se lipTe jaate haiñ
kis ne chheḌā hai sāz-e-mustaqbil
aaj lamhāt gungunāte haiñ
kis ne chheḌā hai sāz-e-mustaqbil
aaj lamhāt gungunāte haiñ
kitne asnam na-tarashida
pattharon hi mein kasmasate hain
kitne hi na-shagufta lala-o-gul
zehn-e-bulbul ko gudgudate hain
kitne hi jalwa-ha-e-nadida
abhi parde mein muskuraate hain
na-saraida kitne hi naghme
dil ke taron se lipTe jate hain
kis ne chheDa hai saz-e-mustaqbil
aaj lamhat gungunate hain
kis ne chheDa hai saz-e-mustaqbil
aaj lamhat gungunate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.