sab din ek jaise nahin hote
sab din ek jaise nahīñ hote
kal kā din to aisā nahīñ thā
jaisā aaj kā hai
har din apnī apnī guphā meñ
chhupā
jab savere savere
ham se sāmnā kartā hai
to kahtā hai
aaj kā din guzāro to jāneñ
aur ham
kamar-basta ho jaate haiñ
aaj ke din ke guzārne ko
vo din ham guzār lete haiñ
aur ham is guzre hue
din ko
pīchhe palaT kar dekhte haiñ
sūraj ke saath
Dūbte
añdhere meñ muñh chhupāte
bahut Thoñk kar aayā thā
ḳhud ko
jaise hameñ ye din guzārne na degā
aur giḌgiḌā.eñge ham
us ke sāmne
aur apnī gardan jo ham hamesha
akḌī rakhte haiñ
us ke sāmne jhukā deñge
aur apnī āñkheñ
phaTī phaTī kar ke us ke sāmne iltijā kareñge
ki aaj kā din vaisā hī guzre
jaisā
ek din guzārā thā
jaise ham kabhī nahīñ bhūlte
bhale se
saare din aise vaise guzarte raheñ
ham nahīñ jhukā.eñge apnī
gardan
aur lagā deñge is meñ
hamesha ke liye
cluff
jo us ke sāmne hameñ
jhukne nahīñ degā
bhale vo din kitnā hī burā guzre
sab din ek jaise nahin hote
kal ka din to aisa nahin tha
jaisa aaj ka hai
har din apni apni gupha mein
chhupa
jab sawere sawere
hum se samna karta hai
to kahta hai
aaj ka din guzaro to jaanen
aur hum
kamar-basta ho jate hain
aaj ke din ke guzarne ko
wo din hum guzar lete hain
aur hum is guzre hue
din ko
pichhe palaT kar dekhte hain
suraj ke sath
Dubte
andhere mein munh chhupate
bahut Thonk kar aaya tha
KHud ko
jaise hamein ye din guzarne na dega
aur giDgiDaenge hum
us ke samne
aur apni gardan jo hum hamesha
akDi rakhte hain
us ke samne jhuka denge
aur apni aankhen
phaTi phaTi kar ke us ke samne iltija karenge
ki aaj ka din waisa hi guzre
jaisa
ek din guzara tha
jaise hum kabhi nahin bhulte
bhale se
sare din aise waise guzarte rahen
hum nahin jhukaenge apni
gardan
aur laga denge is mein
hamesha ke liye
cluff
jo us ke samne hamein
jhukne nahin dega
bhale wo din kitna hi bura guzre
- Book : hairat ke us paar (Pg. 15)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.