sab jaante hain ilm se hai zindagi ki ruh
sab jānte haiñ ilm se hai zindagī kī ruuh
be-ilm hai agar to vo insāñ hai nā tamām
be-ilm-o-be-hunar hai jo duniyā meñ koī qaum
nature kā iqtizā hai rahe ban ke vo ġhulām
ta.alīm agar nahīñ hai zamāne ke hasb-o-hāl
phir kyā umīd-e-daulat-o-ārām-o-ihterām
sayyad ke dil meñ naqsh ho is ḳhayāl kā
Daalī binā-e-madrasa le kar ḳhudā kā naam
sadme uThā.e ranj sahe gāliyāñ sunīñ
lekin na chhoḌā qaum ke ḳhādim ne ye kaam
dikhlā diyā zamāne ko zor-e-dil-o-dimāġh
batlā diyā vo karte haiñ karne vaale kaam
niyyat jo thī ba-ḳhair to barkat ḳhudā ne dī
collage huā durust ba-sad shān-o-ehtishām
sarmā.e meñ kamī thī sahārā koī na thā
sayyad kā dil thā darpai takmīl-e-intizām
āḳhir uThā safar ko vo mard ḳhasta paye
ahbāb chand saath the zī-ilm-o-ḳhush-kalām
qismat ki rahbarī se milī manzil-e-murād
farmāñ-ravā-e-mulk-e-dakan ko kiyā salām
hālat dikhā.ī aur zarūrat bayān kī
ḳhūbī se iltimās kiyā qaum kā payām
rahm aa gayā huzūr ko hālat pe qaum kī
phir kyā thā maujzan huā dariyā-e-faiz-e-ām
māhāna do hazār kiyā ik hazār se
ummīd se ziyāda atā thī ye lā-kalām
'akbar' kī ye duā hai ḳhudā kī janāb meñ
tā-hashr is ra.īs-o-riyāsat ko ho qayām
kyā vaqt par huī hai ki be-ehtijjaj-e-fikr
tārīk apnī aap hai fayyazī-e-nizām
sab jaante hain ilm se hai zindagi ki ruh
be-ilm hai agar to wo insan hai na tamam
be-ilm-o-be-hunar hai jo duniya mein koi qaum
nature ka iqtiza hai rahe ban ke wo ghulam
talim agar nahin hai zamane ke hasb-o-haal
phir kya umid-e-daulat-o-aram-o-ihteram
sayyad ke dil mein naqsh ho is KHayal ka
Dali bina-e-madrasa le kar KHuda ka nam
sadme uThae ranj sahe galiyan sunin
lekin na chhoDa qaum ke KHadim ne ye kaam
dikhla diya zamane ko zor-e-dil-o-dimagh
batla diya wo karte hain karne wale kaam
niyyat jo thi ba-KHair to barkat KHuda ne di
collage hua durust ba-sad shan-o-ehtisham
sarmae mein kami thi sahaara koi na tha
sayyad ka dil tha darpai takmil-e-intizam
aaKHir uTha safar ko wo mard KHasta paye
ahbab chand sath the zi-ilm-o-KHush-kalam
qismat ki rahbari se mili manzil-e-murad
farman-rawa-e-mulk-e-dakan ko kiya salam
haalat dikhai aur zarurat bayan ki
KHubi se iltimas kiya qaum ka payam
rahm aa gaya huzur ko haalat pe qaum ki
phir kya tha maujzan hua dariya-e-faiz-e-am
mahana do hazar kiya ek hazar se
ummid se ziyaada ata thi ye la-kalam
'akbar' ki ye dua hai KHuda ki janab mein
ta-hashr is rais-o-riyasat ko ho qayam
kya waqt par hui hai ki be-ehtijjaj-e-fikr
tarik apni aap hai fayyazi-e-nizam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.