sab ka ho ek nara
duniyā pe ye hai raushan
har qaum kā hai maskan
sab ke liye ye gulshan
jaise ho maañ kā dāman
har desh se hai nyārā
hindostāñ hamārā
hindū kā hai dulārā
muslim ko bhī hai pyārā
is desh ko hamesha
sab ne lahū se sīñchā
har aañkh kā hai taarā
hindostāñ hamārā
'nānak' 'muīn' 'chishtī'
'ḳhusrav' 'kabīr' 'tulsī'
'iqbāl' 'mīr' 'fānī'
āzād 'nehrū' 'gāñdhī'
sab kā banā sahārā
hindostāñ hamārā
sindhī hoñ yā marāThī
bañgālī hoñ yā asmī
uḌiyā hoñ yā bihārī
yā phir hoñ jhaaḌ khanDī
sab kā ho ek na.ara
hindostāñ hamārā
duniya pe ye hai raushan
har qaum ka hai maskan
sab ke liye ye gulshan
jaise ho man ka daman
har desh se hai nyara
hindostan hamara
hindu ka hai dulara
muslim ko bhi hai pyara
is desh ko hamesha
sab ne lahu se sincha
har aankh ka hai tara
hindostan hamara
'nanak' 'muin' 'chishti'
'KHusraw' 'kabir' 'tulsi'
'iqbaal' 'mir' 'fani'
aazad 'nehru' 'gandhi'
sab ka bana sahaara
hindostan hamara
sindhi hon ya maraThi
bangali hon ya asmi
uDiya hon ya bihaari
ya phir hon jhaD khanDi
sab ka ho ek nara
hindostan hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.