sab ka pyara
ek din laalū rote aa.e
āñsuoñ se muñh dhote aa.e
abbā ne aa kar chumkārā
kyoñ rote ho kis ne maarā
bhaa.ī jaan ne pūchhā aa kar
aa.e maar kahāñ se khā kar
daadī girtī paḌtī aa.iiñ
laThiyā khaT khaT kartī aa.iiñ
laalū ko jo rote dekhā
pūchhā beTā kis ne maarā
aa jā merī god meñ aa jā
merā bannā merā raajā
ammāñ aa.iiñ aapā aa.iiñ
roTī aur miThā.ī lā.īñ
laalū ko godī meñ uThāyā
pyaar kiyā chhātī se lagāyā
aapā bolīñ chup ho jaao
roTī aur miThā.ī khaao
phir bhābī ne un ko bulāyā
giit sunā kar dil bahlāyā
nahlā kar kapḌe pahnā.e
achchhe achchhe khāne khilā.e
laalū haiñ in sab ke pyāre
haiñ vo sab kī aañkh ke taare
ek din lalu rote aae
aansuon se munh dhote aae
abba ne aa kar chumkara
kyon rote ho kis ne mara
bhai jaan ne puchha aa kar
aae mar kahan se kha kar
dadi girti paDti aain
laThiya khaT khaT karti aain
lalu ko jo rote dekha
puchha beTa kis ne mara
aa ja meri god mein aa ja
mera banna mera raja
amman aain aapa aain
roTi aur miThai lain
lalu ko godi mein uThaya
pyar kiya chhati se lagaya
aapa bolin chup ho jao
roTi aur miThai khao
phir bhabi ne un ko bulaya
git suna kar dil bahlaya
nahla kar kapDe pahnae
achchhe achchhe khane khilae
lalu hain in sab ke pyare
hain wo sab ki aankh ke tare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.