sab khel-tamasha KHatm hua
jab shaam kī palkeñ tharrā.īñ
yādoñ kī āñhkeñ bhar aa.iiñ
har lahr meñ ek samundar thā
jo dil ko bahā le jaatā thā
sāhil se duur jazīroñ par
dil bahte bahte Duub gayā
phir raat huī
phir havā meñ aañsū ghulne lage
phir ḳhvāboñ kī mehrāboñ meñ
maiñ ghar kā rasta bhuul gayā
phir saañs se pahle maut aa.ī
aur khel-tamāshā ḳhatm huā
maiñ biich galī meñ kaise gir kar
TuuT gayā
jab sham ki palken tharrain
yaadon ki aanhken bhar aain
har lahr mein ek samundar tha
jo dil ko baha le jata tha
sahil se dur jaziron par
dil bahte bahte Dub gaya
phir raat hui
phir hawa mein aansu ghulne lage
phir KHwabon ki mehrabon mein
main ghar ka rasta bhul gaya
phir sans se pahle maut aai
aur khel-tamasha KHatm hua
main bich gali mein kaise gir kar
TuT gaya
- Book : Raah-daari mein gunjti nazm (rekhta website) (Pg. 111)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.