sab ki KHair
ḳhair kā dars ham tak
pahāḌoñ meñ bahte hue pāniyoñ meñ se hotā huā
ek ḳhāmosh lamhe meñ miltā rahā
nā-ḳhudā apnī kashtī kā chappū pakaḌte hue
giḌgiḌāte hue us ḳhudā se
zamān-o-makāñ ke safar tak
kā ik rāsta chāhtā hai
aise rastoñ kī ḳhair
jin pe chalte hue sab ke sab
be-ḳhatar haiñ aur un ke qadam Dagmagāte nahīñ
un parindoñ kī ḳhair
ghoñsloñ meñ jo tez āñdhiy.oñ meñ kabhī phaḌ.phaḌāte nahīñ
un buzurgoñ kī ḳhair
jo musībat meñ bhī vird-rabb-e-ta'ālā se ġhāfil nahīñ
un makānoñ kī ḳhair
jin meñ raushan diye āḳhirī saañs lete hue
bujh ga.e
ḳhair sayyāroñ kī
jo ḳhudā ke batā.e hue rāstoñ par safar karte karte nahīñ thak rahe
aisī bahnoñ kī ḳhair
jin kī 'izzat ko vahshī uḌā le ga.e
aisī maaoñ kī ḳhair
apne bachchoñ ko jo ḳhair kā dars detī rahīñ
jaane vāloñ kī ḳhair aane vāloñ kī ḳhair
sab zamānoñ kī ḳhair
muskurāte hue aise logoñ kī ḳhair
jin ke dil ġham kī dahshat se larzāñ ga.e
un sitāroñ kī ḳhair
gum-shuda qāfiloñ ko jo raste batāte hue
bujh ga.e
chaak par rakkhe aise vajūdoñ kī ḳhair
apne ḳhāliq kī ḳhvāhish pe
jaise banā.e ga.e ban ga.e
maiñ kahāñ tak izāla karūñ
aisī rūhoñ kī ḳhair
jo ḳhudā se ta'alluq nibhāte hue
apnī parvāz se thak ke girtī nahīñ
KHair ka dars hum tak
pahaDon mein bahte hue paniyon mein se hota hua
ek KHamosh lamhe mein milta raha
na-KHuda apni kashti ka chappu pakaDte hue
giDgiDate hue us KHuda se
zaman-o-makan ke safar tak
ka ek rasta chahta hai
aise raston ki KHair
jin pe chalte hue sab ke sab
be-KHatar hain aur un ke qadam Dagmagate nahin
un parindon ki KHair
ghonslon mein jo tez aandhiyon mein kabhi phaDphaDate nahin
un buzurgon ki KHair
jo musibat mein bhi wird-rabb-e-ta'ala se ghafil nahin
un makanon ki KHair
jin mein raushan diye aaKHiri sans lete hue
bujh gae
KHair sayyaron ki
jo KHuda ke batae hue raston par safar karte karte nahin thak rahe
aisi bahnon ki KHair
jin ki 'izzat ko wahshi uDa le gae
aisi maon ki KHair
apne bachchon ko jo KHair ka dars deti rahin
jaane walon ki KHair aane walon ki KHair
sab zamanon ki KHair
muskuraate hue aise logon ki KHair
jin ke dil gham ki dahshat se larzan gae
un sitaron ki KHair
gum-shuda qafilon ko jo raste batate hue
bujh gae
chaak par rakkhe aise wajudon ki KHair
apne KHaliq ki KHwahish pe
jaise banae gae ban gae
main kahan tak izala karun
aisi ruhon ki KHair
jo KHuda se ta'alluq nibhate hue
apni parwaz se thak ke girti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.