sab ki pyas bujhao
abr ke TukḌe naT-khaT laḌkoñ jaise ghuum rahe haiñ
paanī kī bauchhāreñ khā kar paude jhuum rahe haiñ
barkhā-rānī baḌī siyānī bādal bādal Dole
pī-hū pī-hū pañkh pasāre ban meñ koyal bole
dhīre dhīre meñDak apnā saaz bajāte nikle
bhīgī bhīgī shānt fazā meñ shor machāte nikle
meñDak raag sunā to jheñgur dauḌe dauḌe aa.eñ
rañg-manch par aane se vo pīchhe kyoñ rah jaa.eñ
har naġhme kī lai par jhūme peḌoñ kī hariyālī
pavan suhāne giit sunā.e mahke Daalī Daalī
Daalī Daalī sundar komal phūloñ kī mahkār
rasta rasta gūñje jaise taaza giit bahār
jab dhartī par barkhā-rānī chham chham kartī aa.e
yuuñ lagtā hai saarī dhartī nikhrī nikhrī jaa.e
jhar-jhar kartā jharnā bole sab kī pyaas bujhāo
ramte jogī bahtā paanī 'nashtar' jī ban jaao
abr ke TukDe naT-khaT laDkon jaise ghum rahe hain
pani ki bauchhaaren kha kar paude jhum rahe hain
barkha-rani baDi siyani baadal baadal Dole
pi-hu pi-hu pankh pasare ban mein koyal bole
dhire dhire meinDak apna saz bajate nikle
bhigi bhigi shant faza mein shor machate nikle
meinDak rag suna to jhengur dauDe dauDe aaen
rang-manch par aane se wo pichhe kyon rah jaen
har naghme ki lai par jhume peDon ki hariyali
pawan suhane git sunae mahke Dali Dali
Dali Dali sundar komal phulon ki mahkar
rasta rasta gunje jaise taza git bahaar
jab dharti par barkha-rani chham chham karti aae
yun lagta hai sari dharti nikhri nikhri jae
jhar-jhar karta jharna bole sab ki pyas bujhao
ramte jogi bahta pani 'nashtar' ji ban jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.