sab kuchh hai apne des mein roTi nahin to kya
sab kuchh hai apne des meñ roTī nahīñ to kyā
va.ada lapeT lo jo lañgoTī nahīñ to kyā
aalim baḌe baḌe haiñ to leader galī galī
bārish hai afsaroñ kī to daftar galī galī
shā.ir adiib aur suḳhanvar galī galī
suqrāt dar-ba-dar haiñ sikandar galī galī
sab kuchh hai apne des meñ roTī nahīñ to kyā
va.ada lapeT lo jo lañgoTī nahīñ to kyā
hākim haiñ aise desh kā qānūn toḌ deñ
rishvat mile to qatl ke mujrim bhī chhoḌ deñ
nigarāñ jo mulzimān kī āñkheñ bhī phoḌ deñ
surgeon haiñ aise peT meñ auzār chhoḌ deñ
sab kuchh hai apne des meñ roTī nahīñ to kyā
va.ada lapeT lo jo lañgoTī nahīñ to kyā
har qism kī jadīd imārat hamāre paas
har ek parda-dār-e-tijārat hamāre paas
apnoñ ko lūTne kī jasārat hamāre paas
kheloñ meñ hārne kī mahārat hamāre paas
sab kuchh hai apne des meñ roTī nahīñ to kyā
va.ada lapeT lo jo lañgoTī nahīñ to kyā
har kaam chal rahā hai yahāñ par bayān se
sarkār ke sutūn to rahte haiñ shaan se
qarza to mil rahā hai hameñ har dukān se
ḳhairāt aa rahī hai baḌī ān-bān se
sab kuchh hai apne des meñ roTī nahīñ to kyā
va.ada lapeT lo jo lañgoTī nahīñ to kyā
ye nuur kā nahīñ to siyāhī kā tuur hai
har jhuuT har gunāh kā ham ko shu.ūr hai
duniyā ke aur desoñ ko dhan par ġhurūr hai
fann-e-gadāgarī pe hameñ bhī ubuur hai
sab kuchh hai apne des meñ roTī nahīñ to kyā
va.ada lapeT lo jo lañgoTī nahīñ to kyā
jantā se kah do shor machānā fuzūl hai
taklīf kā bayān sunānā fuzūl hai
shāhān-e-qaum ko to satānā fuzūl hai
sote haiñ sukh kī niiñd jagānā fuzūl hai
sab kuchh hai apne des meñ roTī nahīñ to kyā
va.ada lapeT lo jo lañgoTī nahīñ to kyā
sab kuchh hai apne des mein roTi nahin to kya
wada lapeT lo jo langoTi nahin to kya
aalim baDe baDe hain to leader gali gali
barish hai afsaron ki to daftar gali gali
shair adib aur suKHanwar gali gali
suqraat dar-ba-dar hain sikandar gali gali
sab kuchh hai apne des mein roTi nahin to kya
wada lapeT lo jo langoTi nahin to kya
hakim hain aise desh ka qanun toD den
rishwat mile to qatl ke mujrim bhi chhoD den
nigaran jo mulziman ki aankhen bhi phoD den
surgeon hain aise peT mein auzar chhoD den
sab kuchh hai apne des mein roTi nahin to kya
wada lapeT lo jo langoTi nahin to kya
har qism ki jadid imarat hamare pas
har ek parda-dar-e-tijarat hamare pas
apnon ko luTne ki jasarat hamare pas
khelon mein haarne ki mahaarat hamare pas
sab kuchh hai apne des mein roTi nahin to kya
wada lapeT lo jo langoTi nahin to kya
har kaam chal raha hai yahan par bayan se
sarkar ke sutun to rahte hain shan se
qarza to mil raha hai hamein har dukan se
KHairaat aa rahi hai baDi aan-ban se
sab kuchh hai apne des mein roTi nahin to kya
wada lapeT lo jo langoTi nahin to kya
ye nur ka nahin to siyahi ka tur hai
har jhuT har gunah ka hum ko shuur hai
duniya ke aur deson ko dhan par ghurur hai
fann-e-gadagari pe hamein bhi ubur hai
sab kuchh hai apne des mein roTi nahin to kya
wada lapeT lo jo langoTi nahin to kya
janta se kah do shor machana fuzul hai
taklif ka bayan sunana fuzul hai
shahan-e-qaum ko to satana fuzul hai
sote hain sukh ki nind jagana fuzul hai
sab kuchh hai apne des mein roTi nahin to kya
wada lapeT lo jo langoTi nahin to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.